Wednesday, July 2, 2025
HomeHyderabadSuresh Reddy TRS mein shaamil honay aamada

Suresh Reddy TRS mein shaamil honay aamada

Hyderabad. Congress Party se ahem qaideen ka inkhilah hanooz jari hai. Caretaker Chief Minister o sarbarah Telangana Rashtriya samiti Mr. K Chandrashekhar Rao ki janib se Telangana Assembly tahleel aur umeedwaron ki fehrist jari kardete huwe intekhabi bagal bajade ney ke bawajood bhi Telangana Rashtriya Samiti mein deegar partiyon ke qaayideen ki shumouliyat ka silsila thama nahi hai. Doosri partiyon se TRS mein taaza shumouliyat par amaada honay wali aik ahem shakhsiyat sabiq Speaker Andhra Pradesh Assembly Mr. K. Suresh Reddy hain. Mr. Suresh Reddy guzishta Assembly intekhabaat mein apni shikast ke baad se sargaram siyasat se doori ikhtiyar kiye huwe thae. TRS sarbarah ke farzand Mr. KT Rama Rao wazeer Information Technology and Municipal Administration & Urban Development  ney aaj Party ke rufaqa ke hamrah jummay ki subha Mr. K. Suresh Reddy ki rihayish gaah pahonch gaye aur unhen TRS mein shumuliat aqtiyar kar lenay ki targheeb di. Mr. Suresh Reddy ney bhi TRS mein shumuliyat se ittefaq karliya aur kaha ke androon do yaum bazabta taur par TRS mein shumuliyat ikhtiyar karlen ge. Party sarbarah o kaarguzar Chief Minister Mr. K Chandrashekhar Rao ki hidaayat par Government Advisor wo sabiq Rukn e Parliment Mr. Vivek aur sabiq wuzraa Mr. Purshunath Reddy aur Mr. Jeevan Reddy ney bhi Mr. Suresh Reddy ki rehayish gaah pahonch kar party mein un ka istaqbaal kiya. Mr. Suresh Reddy tashkeel Telangana ke baad se khamoshi ikhtiyar kiye huwe thae. Woh 2004-09 mein mutahidda Andhra Pradesh mein riyasti Assembly ke Speaker rah chuke hain. Woh sabiq Chief Minister Y.S Raj Shekar Reddy ke qareebi rafeeq thae. Mr. Suresh Reddy halqa Assembly Balkonda se do martaba muntakhib ho chukay. Unhon ney 2009 mein Armoor halqa Assembly se muqaabla kiya tha taham woh shikast se dochar hogaye thay. Intekhabaat mein shikast aur Dr. YS Raj Shekar Reddy ki mout ke baad woh party sargarmion se door hotay chalay gaye thae.