Friday, July 4, 2025
HomeSliderKonda Murlidhar aur Konda Surekha ki Congress mein wapsi?

Konda Murlidhar aur Konda Surekha ki Congress mein wapsi?

Warangal. Telangana Assembly ki tahleel ke sath hi kaarguzar Chief Minister o sarbarah Telangana Rashtriya Samiti K Chandrashekhar Rao rao ney party ke 105 umeedwaron ki fehrist jari kar di hai. party ki jari kardah 105 umeedwaron ki fehrist mein sirf do maujuda Arkaan e Assembly ke naam shaamil nahi hain taham 5 Assembly halqon ke umeedwaron ke naam jari nahi kiye gaye hain iss se yeh ishara milta hai ke yeh 5 maujooda Arkaan e Assembly bhi Party ka dobarah ticket haasil karne se mehroom reh jayen ge jin mein M Sudhir Reddy (halqa Assembly Medchal ), C Kanaka Reddy (Malkajgiri), B Shooba (Chopadandi), B Sanjiv Rao(Vikarabad) aur Konda Surekha(East Warangal) shaamil hain. Jahan tak mohtarma Konda Sulekha ka talluq hai un ke khandan ki Warangal aur uss ke atraaf o aknaaf zabardast siyasi dhak hai. Mohtarma Konda Sulekha ke shohar Mr. Konda Murlidhar Rao TRS Party ke Rukn Legislative Council hain. Siyasi tajzia nigaron ka kehna hai ke Narsimhampet, Parkal, Bhopalpally,Palakurti, Warangal East aur Warangal West Assembly halqon mein yeh khandan raaye dahindon par apna asar rakhta hai. Haliya dinon mein Konda Sulekha aur un ke shohar Konda Murlidhar Rao ka naam siyasi halqon mein garmaya huwa tha. Yeh siyasi joda apne halqa asar mein apni munfarid shanakhat rakhta hai. Yeh kisi bhi siyasi party se wabasta rahen magar un ki maqboliat mein kami nahi aati. Telangana Rashtra Samiti mein 2014 mein shumuliat ikhtiyar karne se qabl yeh joda 2013 tak YSR Congress Party se juda huwa tha. TRS Party mein inhen nazar andaz kiya jata raha hai. Mohtarma Konda Sulekha Mr. Chandrashekhar Rao ki cabinet mein jagah paney se qassir rahi thein. Yahi nahi balkay un ke halqa intekhab mein bhi party unhen nazar andaaz karti rahi. Paalakurti ke Rukn Assembly Mr. E. Dayakar Rao aur un ke bhai Errabali Pradeep Rao Warangal East mein apne taur par party programes karte huwe un ke liye mushkilaat khadi karte rahay. Alawa azeen Mayor Mr. N Narendar aur sabiq wazeer Baswa Raju Saraiah bhi is joday ke mukhalif hogaye thay. Konda Sulekha ke khandan ki siyasi taaqat ko mehsoos karte huwe mumkin hai ke Congress Party inhen dobarah Party mein shaamil karte huwe siyasi faida haasil karne ki koshish kere gi aur agar aisa hota hai to Warangal aur uss ke atraaf o aknaaf ka siyasi mahol badi had tak tabdeel hojaye ga aur candidates ke intekhabi imkanaat par bhi asar padsakta hai. Maloom huwa hai ke Party ticket se mehroomi ke sath hi Congress ke chand sarkardah qaayedeen, Konda Murlidhar Rao aur Konda Sulekha se rabita qaayim karne mein jut gaye hain aur inhen Party Ticket dainey ka wada karte huwe Congress mein dobarah wapas aajane ki targheeb day rahay hain.