Saudi wizarat Hajj o Umra ney Jaria saal Umra mausam safar ke bajaye 1st Mohram 1440h se hi shuru karne ka faisla karliya. Umra visa ki ijrayi ki karwai shuru kar di gayi hai. Wizarat Hajj o Umra ne yeh ittela dete huwe wazeh kiya ke Saudi Vision 2030 ke tahet taye kiya gaya tha ke salana 30 million moutamareen arz e muqaddas aaya karen. Is maqsad ki takmeel ke liye moutamareen ko jumla saholaten faraham karne ka bandobast kiya jaye ga. Saudi wizarat Hajj o Umra ka kehna hai ke wizarat e kharija ke taawun o ishterak se Umra Visa ki Ijrayi ka amal shuru kardiya gaya hai. Vision 2030 ke mutabiq khariji moutamareen ki tadaad 2022 tak 15 million aur 2030 tak 30 million tak pahonch jaye gi jabkay 2030 mein Hujjaj ki tadaad 4.5 million tak badha di jaye gi. 1439h ke dauran baironi Mumalik se 70 lakh se ziyada moutamareen arz e muqaddas aeye. Naib wazeer Hajj o Umra abdalftah Mushat ne bataya ke Hajj o Umra karwai ka bunyadi dhancha o moutamareen ko paish ki jaaney wali khidmaat ka silsila az sar e no muratab kiya gaya hai. Iss baat ka ehtemaam kiya ja raha hai ke na sirf Umra khidmaat paish ki jayen balkay khidmaat ki tayari bhi ki jaye. Mushat ne bataya ke hawai adon par moutamareen ki karwai 30 se 40 minute ke bajaye chand lamhoon mein mukammal karli jaye gi. Iss hawala se matlooba iqdamaat karliye gaye hain. Iss ka wada Saudi vision 2030 mein kiya gaya tha. Guzashita baras Hujjaj ki immigration aur Custom ki karwai mehdood peymane par un ke Mulk hi mein anjaam dainay ka tajruba kiya gaya tha. Imsal is ka daira wasee kardiya gaya hai.