Hyderabad. Driver Empowerment Programe ke tahet aaj Minorities Finance Corporation ki janib se drivers mein gadiyon ki taqseem amal mein aayi hai. Is programe ke tahet Uber, Maruti Motors aur State Bank of India ke ishtiraak ke sath 342 istefada kunindgaan mein cars taqseem ki gayeen. Yeh Cars 60% subsidy par di jaati hain. Aaj 15.20 Crores rupay maaliat ki gaadiyan taqseem ki gain. Taqreeb se khitaab karte hue Sadar Majlis wo Rukn e Parliament Barrister Asaduddin Owaisi ney kaha ke TRS hukoomat ka yeh iqdaam khush aayind hai. Hukoomat ko chahiye ke is khussos mein jo darkhwasten zair iltiwa hain un ki bhi aajilana yaksoi kardein. Kisi bhi hukoomat ki karkardagi ka paimana yeh ho sakta hai ke un ke daur e hukoomat mein aqliaton ke sath insaaf huwa hai ya nahi. Kya un ki jaan o maal ya ibadat gaahon ko khatrah to nahi hai. Aqliaton ke liye jo bhi iqdamaat kiye jatay hain unko kis tarha paish kiya jata hai. Aaya un iqdamaat ko ehsanaat par mahmool kiya jata hai ya phir yeh bawar karwaya jata hai ke aqliaton ko un ka haq diya ja raha hai. Barrister Asad Owaisi ney kaha ke hum ney TRS hukoomat ki taayeed ki hai aur guzashta 4 barson mein yahan koi firqa warana fasaad nahi huwa hai.Telangana hukoomat ney Minorities ke liye Jaria saal 2025 crore kiya hai, kiya yeh hum par ahsaan kar rahay hain ya un ka haq day rahay hain. Dastoor mein article 30 mein kiya gaya hai. Ayein ki tamheed mein hik_h gurbat ke khatima, masawaat, adal aur azaadi ka zikar kiya gaya hai jo tamam hindustaniyo ke liye yaksaa honey chahiye. Telangana ke Minorities ko TRS hukoomat ney haq diya hai aur hamein apna haq mil raha hai aur Musalmanoon ke liye aik baat badi ahem hai ke aaj Telangana mein musalmanoon ki pasmandagi, kamzori ko door karne talim ko farogh de rahi hai. Telangana mein 206 Aqamti Schools mein pachaas hazaar se zayed bachay aur bachiyan taleem parahe hain aur un par fi kas aik lakh rupay salana kharch kiye jarahay hain. Barrister Owaisi ney kaha ke TRS hukoomat mein baironi mumalik aala taleem ke liye 800 tulba ke liye fi kis 20 lakh rupay faraham kiye jarahay hain. Hamare bachay aala taleem haasil karne ka khawab poora kar rahay hain. Sadar Majlis ney wuzraa aur ohdedaron se khuwahish ki ke woh gadiyon ki farahmi ke liye jo 130 darkhwasten hanoz zair e tasfia hain un ki bhi ajjlana yaksoi kar di jaye. Unhon ney TRS qayideen ko mukhatib karte huwe kaha ke aap ki party ka imtiazi nishaan bhi gaadi hai is liye jitna hosakay ziyada se ziyada gaadiyaan dijiye. Unho ney az-rahe mizah kaha ke aap gadiyaan dijiye hum aap ki gaadi ke engine hain usay agay bedhate rahen ge. Barrister Asad Owaisi ney 50 hazaar rupay ke loans ki farahmi ki scheme ki bhi darkhwasten saal ded saal se zair iltiwa hain un ki bhi aajlana yaksoi karne par zor diya. Aaj 342 gadiyon ki taqseem amal mein aayi. Taqreeb se Mrs Mahmood Ali Deputy Chief Minister, Naini Narsimha Reddy, Bandaru Datatriya sabiq wazeer aur Syed Akbar Hussain Sadarnasheen Minorities Finance Corporation, A.K .Khan Advisor to CM on Minorities Affaris Minister aur deegar ney bhi khitaab kiya. Is mauqa par Sadarnasheen Telangana Waqf Board Mr. Mohammad Saleem , Sadarnasheen Haj Committee Mr. Mohammad Masiullah Khan ,Sadarsheen SETWIN Mr. Syed Inayat Ali Baqri aur MLC Mr. Farooq Hussain bhi maujood thae.