Damam. Gadiyon aur Motorcycle ke Showroom, bachon aur mardon ke malbosaat, gharelo furniture aur bartanon ki dukanain naye saal yani 1st Mohram 1440 h mutabiq 11th September 2018 se Saudization par amal-dar-aamad se qabal hi band hona shuru hogain. Bahut saari dukanain band hoti jarahi hain jin ke malkaan ne intehai riyaati narkhon par samaan farokhut karne ke ishteharaat day diye hain. Wizarat e Mehnat o Samaji Behbood ne 4 tijarati sargarmion mein 70% tak ki Saudization ka faisla nafiz karne ka elaan kar rakha hai. Amal-dar-aamad 11th September se hoga. Mazkoorah dukanon ke malikaan ne samaan sametna shuru kardiya hai. Bohat saari dukanain band hogayi hain. Riyaz , Damam aur Madina Munawwara ke baazaaron mein muzkoorah dukanein ghair mulki chala rahay thae. Unhen 9 mah qabal Saudization ke faisla se aagah kardiya gaya tha. Achanak dukanain band karna ya mukammal taur par band karne ke liye sara samaan nikalney ka faisla karna saabit kar raha hai ke ziyada tar dukanon ke maalik ghair mulki hi thae. Maahir iqtisadiaat Fahad al Sahrf ne Okaz akhbar se guftagu karte hue kaha ke muzkoorah 4 shobon mein Saudiization ke faisla par amal-dar-aamad se Saudion ke naam se ghair mulkion ka 30 % kaarobar khatam hojaye ga. Al Ashrafi ne berozgari ke masla ke hal se mutaliq aik sawal ke jawab mein kaha ke muzkoorah faislon ki badaolat Saudi khawateen aur mardon ke liye rozgaar ke naye mouqaye paida hunge. Senkdroon Saudion ko rozgaar mil jaye ga. Aik aur maahir iqtisad Abdulaziz Sharufna ne kaha ke baaz paishon ki Saudiization muqami shehrion aur qaumi iqtesadiat ke mafaad mein hogi. Retail ki market 375 arab ryial ki hai. Iss mein kam azkam 10 lakh mulaazimaten milein gi. Unhon ne yeh bhi kaha ke yeh mansoobah Saudi Vision 2030 ko madd e nazar rakh kar banaya gaya hai. Mumlikat ke teen badey shehron Riyaz , Damam aur Madina Munawwara mein muzkoorah charon shobon mein Saudiization ke faisla ke nifaz ke liye tafteeshi amal bhi shuru kardiya gaya hai. Muqami naujawanu ne is azm ka izhaar kya hai ke woh un shobo mein khala paida nahi honay den ge. Kayi naujawan Cars, Motorcycle ke Showroom, bachon aur mardon ke malbosaat, khusboyaat, gharelo o daftari furniture aur bartano ki dukanon par kaam karne lagey hain.