Qaumi Urdu School ke liye 42 saal se jari qanooni ladai bil akhir kamyaab. Janab Feroz Bakht Ahmed ki kamyaab msaay
Hyderabad. Delhi High Court ney Qaumi Senior Secondary School ke liye 4000 gaz jagah faraham karne aur behtareen sahulaton se lais asri School taameer karne Hukoomat ko hidaayat di. Adalat ney yeh faisla janab Feroz Bakht Ahmed, Chancellor Molana Azad National Urdu University ki mafaad aama darkhwast par guzashta hafta kya. Adalat ney faisla dete hue kaha ke ghurba aur msakin ke liye tamam agencies, jaisay DDA, MCD, Director of Education, CBSE, Hukoomat e Delhi aur Markazi Hukoomat sabhi mil kar taawun karen aur aik misaali Urdu Medium School ko qaayim karkay yeh saabit kar dein ke Hindustani adliya insaaf pasand hai aur baghair koi farq kiye, barabari se sabhi ke huqooq ki nigehbani karti hai.
janab Feroz Bakht ki qanooni musheer mohtarma Tayyiba Siddiqui ki darkhwast ko hizab mukhalif ke wukla ney bhi himayat ki. Yeh School taqseem e Hind ke baad, un logon ney taameer kya tha keh jinhon ney, Pakistan janay ke bajaye hindostan ka intikhab kya aur purani Delhi mein apne gharron ke qareeb Qaumi School ke naam se yeh darsgaah taameer ki jo us waqt taqreeban 2200 murabba gaz mein bani hui thi aur is mein taqreeban 1200 bachay zair e taleem thae. Is ki bunyaad bataur e Primaray School padi aur 1964 mein yeh Secondary School bana, jab ke 1975 mein yeh Senior Secondary School ban gaya. Taham is School ko Emergency ke dauran 30th June 1976 ko masmaar kardiya gaya tha lekin is ki taameer nau nah hosaki. Iss tarha yeh 42 baras baad Qaumi Senior Secondary School ki imarat ki taameer nau ki umeed bandhi hai. Musheer qanoon janab Ateeb Siddiqui , samaji karkun ney apne bayan mein Delhi High Court ke faisla ka khair muqaddam karte hue usay tareekhi qarar diya. Janab Mohammad Iqbal Malik, General Secretary, Friends for Education ney kaha ke School ki taameer mein kaun haath btate hain, iss ka intzaar rahay ga. Unhon ney adalat ke faisla ka khair muqaddam karte hue janab Feroz Bakht Ahmed ko kamyaab jadd o jahed par mubarakbaad di.