Executive Director (GHZ) TSRTC Proshatam Naik ney kaha ke yeh Transport Mehkuma ka aik bada iqdaam hai, jo Mini Buses ki harkat par rok laganay mein madad miley gi.
Hyderabad. SETWIN Mini Buses ki challan aur Moiyan auqaat par nazar rakhnay Mehkuma Transport ney faisla kya hai ke shehar mein chalaye jaany wali is ki tamam Buses mein Radio Frequency Identification ( RFID ) Tags nasb kiye jayen. Greater Hyderabad Municipal Corporaqtion zone mein kaam karne walay Telangana State Road Transport Corporation (TSRTC) mein kaam karne walay Drivers ki shikayat par ke SETWIN Mini Buses un Routs par chalaye jarahi hain jo un ke liye nahi muqarrar ki gayi hain, Mehkuma Transport ney yeh iqdaam karne ka faisla kya hai. RIFD Devices, Electromagnetic Fields ko istemaal karte hue cheezon se judey Tags ki khudkaar shanakht aur un ko track karte hain. Un Tags ki tanseeb se SETWIN ki gaadiyon ki nigrani karen ge aur agar yeh un ke liye mukhtas Routs ko chod kar kisi dosray Routs par chalaye jati hain to yeh device gaadiyon ki naqal o harkat ke talluq se Mehkuma Transport ko aagah karde ga. SETWIN Transport Services ke tehat 100 Mini Buses hain aur 57 mukhtalif Routs bashmool Secunderabad, Dilsuknagar, Mehdipatnam, Langar Houz aur Ameerpet par chalayi jaati hain aur rozana 50,000 musafireen ko aik muqam se dosray muqam par muntaqil karti hain. TSRTC ke ohdedaron ke mutabiq chunkay Mini Buses mobayyana taur par TSRTC Routs par chalaye jarahi hain, coopration ki aamdani mutasir horahee hain. RIFD Tags se SETWIN Buses ki nigrani mein madad miley gi is liye Buses ko deegar Routs par le jaany ka koi imkaan nahi rahay ga. Executive Director (GHZ) TSRTC Proshatam Naik ney kaha ke Mehkuma Transport ka yeh aik bada iqdaam hai jis se Mini Buses ki naqal o harkat par nigrani rakhi jaye gi. Unhon ney kaha ke RIFD Tags ki tanseeb ke baad agar koi Bus deegar Routs par chalaye jati hain to mutaliqa hakkaam jurmana aed karen ge chunkay inhen bas ke location ke baarey mein aagah karde ga. yahi nahi balkay SETWIN Mini Buses mobayyana tor parbas biz par musafireen ko bas bharnay ke liye are tea si Buses ke liye mushkilaat peda karte hain.