Sunday, July 6, 2025
HomeHyderabadKiya KCR Assembly tahleel kar deinge ?

Kiya KCR Assembly tahleel kar deinge ?

K Chandrashekar Rao ki Telangana Rashtra Samithi TRS hukoomat ki miyaad yun to May 2019 tak hai taham Mr K Chandrashekhar Rao schedule ke mutabiq aam intekhabaat ke sath riyasti Assembly ke intekhabaat se bachney ke liye kal munaqqid shudni jalsa aam” Pragathi Nivedana” mein riyasati Assembly ki tahleel ka elaan kar dein ge taakay Election Commission Mulk ki deegar chaar riyasaton ke sath Telangana Assembly ke intekhabaat ka bhi elaan kar sakay. Tawaqu ki jarahi hai KCR apne umeedwaron ka bhi kal hi elaan kar dein ge.

Hyderabad. Chief Minister Telangana o Sadar Telangana Rashtra Samithi Mr. K Chandrashekhar Rao tawaqqu hai ke kal ke jalsa aam ” Pragathi Nivedaana” mein Telangana Assembly ki tahleel ka elaan kar dein ge. Yun to Telangana Assembly ki miyaad May 2019 tak hai taham Mr Chandrashekhar Rao schedule ke mutabiq aam intekhabaat ke sath riyasti Assembly ke intekhabaat se bachney ke liye kal munaqqid shudni jalsa aam ”Pragathi Nivedana” mein riyasati Assembly ki tahleel ka elaan kar dein ge taakay Election Commission mulk ki deegar chaar riyasaton Mizorm, Rajasthan, Madhya Pradesh aur Chhattisgarh ke sath Telangana Assembly ke intekhabaat ka bhi elaan kar sakay. Tawaqqu ki jarahi hai KCR apne umeedwaron ka bhi kal hi elaan kar dein ge. Muzkoorah chaar riyasaton ki Assembly ki miyad December aur January mein khatam ho rahi hai. Kal ke programme ko Mulk ki tareekh ke sab se badey siyasi jalsa se tabeer kiya ja raha hai jis mein TRS apni siyasi taaqat ka muzahira karne jarahi hai. Is jalsa aam se qabal Telangana riyasati Cabinet ka ijlaas munaqqid hoga jis mein Assembly ki tahleel ki sifarish manzoor ki ja sakti hai. Chief Minister ke farzand aur un ke siyasi janasheen Mr. KT Rama Rao ney jo KCR Cabinet mein ahem qalamdaan rakhtay hain id-daa kya ke aap hamaray party qaayed se kal ahem siyasi elanaat ki tawaqqu kar saktay hain jis se riyasat mein siyasi mahol yaqeenan garma jaye ga. Taham abhi tak na hi Chief Minister aur na hi Party ke kisi ahem qaayed ney ta haal Assembly ki tahleel ke baray mein koi wazeh ishara diya hai. TRS Party ki sar garmion aur Mr. Chandrashekhar Rao ki janib se kiye jaaney walay ealanat ko dekh kar har koi yeh qiyaas kar raha hai ke KCR kal ke ijlaas mein Assembly ko tahleel karte huwe awaam se khat etemaad haasil karne ka elaan kar dein ge. Telangana Rashtriya Samithi ki hukoomat ki miyaad May 2019 tako hai aur Telangana Assembly ke intekhabaat schedule ke mutabiq Lok Sabha ke intekhabaat ke sath hi hon ge. Tashkeel e Telangana ki chauthi saalgirah 2nd  September ko hai aur TRS Hukoomat isi din apni chaar sala karkardagi ko awaam ke samnay paish kere gi. Doosri janib bataya jata hai ke saddar BJP Mr. Amit Sha ney party qaideen ko yeh ishara diya hai ke saal ke avaakhr mein intekhabaat ka saamna karna hoga jis ke liye abhi se tayario ka aaghaz kardiya jaye.