Tuesday, May 6, 2025
HomeJurmIndonesian tail ke kunvey mein aag se 21 afraad halaak

Indonesian tail ke kunvey mein aag se 21 afraad halaak

 Aag par bil akhir qaboo pa liya gaya. sulagti cigrette se aag bharak uthnay ka khadsha

Peureulak. indonesia mein aik tail ke kunvey mein bharak uthi aag ki wajah se marnay walon ki tadaad 21 taq ja pohanchi hai jabkay darjanon hospital mein zair e ilaaj hain. kunvey se bharak uthnay walay shulon par qaboo pa liya gaya. hakkaam ke mutabiq yeh haadsa budh ko paish aaya aur ibtedaa mein 10 logon ke halaak honay ki ittila thi taham yeh tadaad dugni hokar 21 taq poanch chuki hai chunkay hospital mein shareek zakhamo se jaanbar nah hosakay. tail ki aik dhaar ko aag pkrhli thi aur dekhte hi dekhte aag ke sholay buland honay lagey. jazeera Smatra ke Aceh soobah mein aik rehaishi ilaqa mein waqay tail ke aik ghair qanooni kunvey se buland honay walay yeh sholay gharon aur darakhton se bohat oopar aasman mein 70 meter oonchai taq poanch gay they. moza Peureulak ke is kunvey mein dhamaka ke baais kayi ghar bhi tabah hogaye taham hakkaam ne bil akhir aag par qaboo pa liya. Aceh ki takhfeef afaat agency ke aik ohdedar Henny Nurmayani ne kaha ke ab aag bjhadi gayi hai taham hum hanoz zakhmion aur maqam haadsa ki nigrani kar rahay hain. unhon ne bataya ke mazeed teen darjan mutasireen hospital mein zair e ilaaj hain. police ne bataya ke jis waqt aag ke sholay bharak utthay they is waqt mutasireen is qadeem ghair qanooni kunvey ke atraaf se tail jama kar rahay they. hakkaam aag lagnay ki wajah ka pata chalanay ki koshish kar rahay hain taham samgha jata hai ke sulge hui cigrette ke phainky jaane ke baais yeh haadsa runuma huwa hai. police ohdedar ne bataya ke is waqt kayi log they jo cigrette noshi kar rahay they. kunvey se tail haasil karne logon ki aik bheer wahan jama thi. soobay Aceh mein be shumaar chhootey pemanay par tail ki nikasi ke kunvey paye jatay hain. Indonesiayee jazair mein aisay hazaar ha kunvey hain. nakara kunvey kabhi kabhar phir se tail aglne lagtay hain aur muqami log un kunvey se tail haasil karte hain. baaz jaghon par to muqami log bhi tail ke knoon ki kandidgi karte hain. jakarta ke muzafaat mein ptakhon ki aik factory mein aag lag jaane se guzashta october mein 47 log jal gay they ..