Monday, July 7, 2025
HomeHyderabadPragathi Nivedana ke khilaf darakhast kharij

Pragathi Nivedana ke khilaf darakhast kharij

Hyderabad. Hyderabad High Court ney barasar-e-ektadaar Telangana Rashtriya samiti ke siayasi taaqat ke muzayhere ke taur par 2nd  Septembar ko munaqid kiye jane wale jalsa-e-aam Pragathi Nivedana ke khilaaf wakeel wo Sadar Environment Protection Committee Mr Pujari Siridar ki daakhil karada arzi ko kharij kar diya. Mr. Pujari ney Pragathi Nivedana se Evironment ko pahunchne wale nuqsanaat ki duhaee dete hue ye istedlaal pesh kiya tha ki agar woh apani chaar saala karkardagi ko awaam ke robaru pesh karana chahate hain to awaam ko takaleef mein mubtela karne ki bajaay unhen Techonology ko istimaal karte hue Social Media ke zariya farog dena chahiye. High Court ne darakhast ko kharij karane se qabl Hukumat se vazahat talab ki thi jisne waada kiya ke Evironment ko kisi  qisam ka nuqsaan pahunchaye bagair programme ko munsarim kiya jayega. Advocate Ganaral ne Adaalat ko waaqif karavaya ke Hukumat ney jalsa-e-aam ke liye tamaam taiyariyaan mukammal karli hai aur waada kiya ki mahauliyat ko kisi qisam ka nuqsaan pahunchaye bagair Public Meeting munaqid ki jayegi.