Saturday, May 10, 2025
HomeOthersBusinessMulk mein 99.3% matrooka currency note,RBI ko waapas

Mulk mein 99.3% matrooka currency note,RBI ko waapas

Chalan mein maujood jumala 15,310.73 Billiion currency Banks ke zariye waapas. RBI ney maabaad masdudi 2016-17 mein ₹ 500, ₹ 2,000  aur digar qadar ki notes ki tabaat par 7,965 Crore rupay kharch kiye.

Reseve Bank of India (RBI) ne budh ko jari salana report mein bataya ki November 2016 mein chalan khatam kar diye jane wale ₹ 500 aur ₹ 1,000 qadar ki currency notes 99.3% waapis ho chuki hain. Report ke mutabiq tasdeeq aur hisabaat ke baad ₹ 500 aur ₹ 1,000 qadar ki currency notes ki majmuyi qadar 8th  November 2016 ko 15,417.93 lakh crore rupay thi, Jis ke dusre din mazakoora qadar ki currency notes ka chalan barqhast kar diya gaya tha. Gardish se wapas aane wali aysi notes ki majmuyi maliyat 15,310.73 lakh crore rupay rahi hai. RBI data ke mutaabiq March 2018 ko ikhtetaam pazeer maali saal mein zair e gardish Bank Notes ki qadar 37.7% yaane 18,037 lakh crore rupay badhi hai. Mazkura donon qadaron ki notes ko barqhast kar dene ke baad RBI ne 2016-17 mein ₹ 500 aur ₹ 2,000 aur digar qadar ki currency notes ki tabaat par 7,965 crore rupay kharch kiye hain jo is se aik saal kharch ki gayi raqam 3,421 crore rupay se dugni se bhi zayeda hai. RBI ne 2017-18 (July 2017 ta June 2018) 4,912 crore rupay notes ki tabaat par kharch kiye hain. Mazkura currency notes ke chalan ko raaton raat khatam kar dene ka ailaan karate huwe Wazeer e Aazam Mr. Narendra Modi ne ye daawa kiya tha ke iss se kaale dhan , corruption aur fake currency notes ko rokne mein badi madad milegi magar 99.3% zair e gardish notes ki waapsi se un ka daawa galat sabit huwa. Sirf 0.7% currency notes ke waapis na hone se ye baat sabit hojati hai ki hukoomat ke andaaze galat thae jis ke natije mein awaam ko naqabil e bayan koft aur pareshaniyon se dochaar hona pada.