Tuesday, April 22, 2025
HomeSermonsDoosri Shaadi ke liye paheli biwi ki ijazat lena zaroori nahin

Doosri Shaadi ke liye paheli biwi ki ijazat lena zaroori nahin

Makkah Mukarrama. Saudi Arab ke Mufti e Azam Abdul-Aziz ibn Abdullah Al ash-Sheikh ney wazeh kiya hai ke doosri Shaadi ke liye paheli Biwi ki ijazat lena zaroori nahin hai. Piyar Mohabbat aur aizaz wa karam ke taur par paheli biwi ko muttala kar dena achi baat hai. Woh Alquran Alkareem Radio Channel ke khusoosi programme “Noor alad Darb mukhtalif sawalaat ke jawab dae rahay they. Un se daryaft kya gaya tha ke kya doosri shaadi ke liye pheli biwi ki ijazat lena zaroori hai. Unhon nay is ka jawab nifi main dete hue kaha ke taddud e zaujaat Islami Shariyat ka atal usool hai. Rrasool e akram salle Allah alaihi wasallam aur sahaba karaam razi Allahu anhum ka is par amal raha hai. Islami Shariyat ko manwana Ulama ki zimma daari hai. Sharai uloom haasil kiye baghair fatwa dena gunah kabirah hai.