Dono dhamakon mein majmoyi taur par 42 log halaak hogaye thae jab key 50 se zayed zakhmi hogaye thae. Shaher ke deegar muqamat par mazeed do Bombs ko nakara banadiya gaya. Judwaan dhamakon ka muqadma peer ko faisal hoga.
Hyderabad. Shaher ki haliya tareekh mein 25th September siyah din ke taur par dekha jata hai chunkay isi din Shaher ke do muqamat Gokul Chat aur Lumbini Park mein dhamakay hue thae jin min majmoyi taur par 42 log halaak hogaye thae jabkay 50 se zayed zakhmi hogaye thae. Shaher ke deegar muqamat par mazeed do Bombs ko nakara banadiya gaya. Shaher ke tafrehi maqam ”Lumbini Park” mein 25th August 2007 ko shaam 7:45 bajey aik zor daar dhamaka huwa jis ke 5 minute baad hi qalb e shaher mein masroof tareen muqam Kothi par Chat ki mashhoor dukaan ”Gokul Chat Bhandar” ke paas aik aur dhamaka huwa. Baadazaan Shaher ke do muqamat se do bombs ko baraamad kiya gaya aur inhen phatt padney se qabl hi nakaarah banadiya gaya tha. Un dhamakon mein marnay walay mukhtalif tabqaat se talluq rakhtay thae jin mein bachay, tulba aur khawateen bhi shaamil thae. Un judwaan bomb dhamakon ka muqadma 27th August peer ko faisal honay wala hai. Is khusoos mein Hyderabad Police ki Counter Intelligence Wing ney aik muqadma darj kiya tha aur Mohammad Sadiq , Ansar Ahmed Badshah Shaikh, Akbar Ismail Choudhry aur Syed Anique Shafeeq ko girftar karte hue adalat mein paish kiya gaya tha jo in dinon Cherlapally Jail mein mahruse hain. Un Charon ko pahley Maharashtra ki ATS ney girftar kiya tha jinhein baadazan Transit Warrant par Gujarat muntaqil kiya gaya tha. Fil-waqt who Cherlapally Jail mein mahruse hain.