Monday, July 7, 2025
HomeSliderAhmed Faraz ki dasvin barsi

Ahmed Faraz ki dasvin barsi

”un barishon se dosti achi nahi Faraz
kaccha tera makaan hai kuch to khayaal kar”

Hind wo Pak ke namwar taraqi pasand shayar mumtaaz maahir e  taleem o shayr  nigaar Ahmed Faraz ku dunyae faani se guzray 10 baras beeet gaye lekin un ki shayiri ab bhi un ke madahon ke dil o dimagh par chhai hui hai. Namwar shayar Faraz 12th  January 1931 ku Kohat mein paida hue, unhon ney ibtidayi taleem ki takmeel ke baad shayr o-shayari ka aaghaz kar diya, woh mukhtalif taleemi idaron mein maahir taleem ke taur par bhi apne farayez sar-anjaam dete rahay, unhein General Zia ul Haq ke daur mein paband e salasil bhi rakha gaya. Ahmed Faraz ne hazaron nazmein kahin aur un ke 14 majmoa kalaam shaya hue jin mein Tanha Tanha, Dard Aashoob, Shab Khoon, Mere Khawab Rezah Rezah, Be Aawaz Gali Kochoon Mein, Nabina Shaher Mein Aaina, Pas Andaaz Mausam, Sab Aawazian Meri Hain, Khawab Gul e Pareshaan Hai, Bood Lik, Ghazal Bahana Karoon, Janaan e Janaan aur Ae Ishhq Junoon Pesha shaamil hain. Ahmed Faraz ki tasaneef ke trajim Angrezi, French, Hindi, Yogoslavia ki Serbo-Croatian, Swedish, Rusian, German aur Punjabi mein hue. Ahmed Faraz Urdu, Persian, Punjabi sameit deegar zabanon par bhi mukammal uboor rakthe thae, umar ke aakhri ayyaam mein woh gurdon ke aarzah mein mubtala hogaye, Ahmed Frazne hazaron nazmein aur darjanon majmoa kalaam bhi tehreer kiye, Ahmed Faraz 25th  August 2008 ko wafaat pagye thae. Ahmed Faraz ney apni aadbi zindagi ka aaghaz taalib Ilmi ke daur se kya aur kayi asnaaf e sukhan mein taba aazmai kar chukay hain magar bunyadi taur par yeh ghazal ke shayar hain. Ahmed Faraz ko un ke adabi fun ki wajah se mutadid Awards bhi miley hain. Unhen Hilal e Imtiaz, Sitara e Imtiaz, Nigaar awards aur Hilal e Pakistan jaisay bawaqar Awards se nawaza gaya tha.

Un ki kayi ghazlon ko bahut se gulukaron ney gaaya un ki shayari aur gazalain aaj bhi filmon, dramon aur geeton mein shaamil hoti hain. Ahmed Faraz ki mashhoor ghazlon mein ”ab ke bichhde”, ”suna hai log usay”, ” phir isi raah guzar par”, ”yun they” sameit deegar shaamil hain. Ahmed Faraz ki gazalain ganey walon mein Pakistani gulukar Noor Jehan aur Salma Agha hi nahi balkay Bharati maroof ghazal gayik Jagjit Singh bhi shaamil hain.

Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khowaboon mein milein
Jis terha sokhey hue phool kitabon mein milein
Dhoond ujde hue logon mein wafa ke moti
Yeh khazaney tujhay mumkin hai kharabon mein milein
Gham e duniya bhi gham e yaar mein shaamil karlo
Nasha badhta hai sharabain jo sharabon mein milein
Tu Khuda hai na mera ishhq fairshton jaissa
Donon insaan hain to kayun itney hijaboon mein milein
Aaj hum daar pae kheinchain gaye jin baton par
Kya ajab kal woh zamane ko nisabon mein milein
Ab na woh hain, na woh tou hai, na woh maazi hai Faraz
Jaisay do shakhs tamanna ke surabon mein milein
( Ahmed Faraz )