Monday, July 7, 2025
HomeSliderGaza ki sarhad par Israeli fouj ke hamle mein 190 Falasteeni zakhmi

Gaza ki sarhad par Israeli fouj ke hamle mein 190 Falasteeni zakhmi

Palestine ke ilaqa Gaza ki patti aur Israel ke darmain sarhad par ‘Haq e Wapsi’ March ke dauran Israeli Fouj ki puraman Falesteenion par firing ke nateeja mein kam se kam 190 shehri zakhmi hogaye. Gaza ki patti mein Falasteeni wizarat sehat ke tarjuman Dr Ashraf al Qadrah ney bataya ke Falasteeni muzahireen ko muntashir karne ke liye Israeli Fouj ney jummay ke roz ansoo gas shell fire kiye jis se 189 Falasteeni zakhmi hue. 10 Falasteeni shehri barah e raast golian lagnay se zakhmi hue. Un mein do bachay aur do khawateen bhi shaamil hain. Gaza ki sarhad par lagai gayi Israeli sarhadi baad ke qareeb Juma ko Falesteenion ney Haq e Wapsi ke liye muzahira kiya. Ayini shahideen ke mutabiq Falesteenion ki badi tadaad ney Gaza ki mashriqi sarhad par Israeli Fouj ki taraf se khadi ki gayi rukawaten hataane ki koshish ki. khayaal rahay ke Falasteeni shehri 30th  March 2018 ke baad se Gaza ki mashriqi sarhad par har jummay ko ehtajaji muzahirey karte hain. Falasteeni muzahireen ke puraman honay ke bawajood Israeli Fouj un ke khilaaf taaqat ka istemaal karti hai jis ke nateeja mein ab tak 170 Falasteeni shaheed aur 18 hazaar se zayed zakhmi ho chuke hain. Nama nigaron ke mutabiq jummay ke roz Falesteenion ney Israeli riyasat ke mazalim ke khilaaf ehtijaj kya magar is mauqa par koi aatish geer kaghazi jahaaz ya garam hawa ka ghubarah Israel ki taraf nahi uchala gaya jab ke is se qabal Palestine Israel sarhadi ilaaqon mein gassee ghubaare aur aatish geer jahaaz dropping ke zareya aag laga dete they jis par Israel ko Falesteenion ke khilaaf sakht gham wo ghussah hai. Iss mauqa par Hamas ke muqami rehnuma Khalil al Haiyya ney kaha ke Gaza ki sarhad par Falasteeni muzahireen ka puraman ehtijaj Cairo mein jari jung bandi baat cheet ko kamyaab karne ka mauqa faraham karna hai. Hamas rehnuma ka kehna tha ke jamaat ki qayadat aur deegar Falasteeni dhadon ke zimma daraan kal itwaar aur somwaar ke roz qahira mein Israel ke sath Gaza mein jung bandi aur aapas mein masalihati amal par baat cheet karen ge.