Hyderabad. Telangana mein qabal az-waqat intikhabaat ki paish qiyasion ke darmyaann Chief Minister o Sadar Telangana Rashtra Samiti Mr. K. Chandershekar Rao ne aaj TRS ke MPs aur MLAs se kaha ke intikhabaat ke ineqad ke talluq se woh munasib waqt par munasib faisla karen ge aur is khusoos mein paish qiyasian karne ki qatayee zaroorat nahi hai. Unhon ne id-daa kya ke aayindah intikhabaat mein Party 100 se zayed nashiston par kamyabi haasil kere gi intikhabaat jab kabhi hon, taham unhon ne awaami numaindon par zor diya ke woh intikhabaat ke liye Party Cadre ko mutharrak kar dein. Chief Minister ne jummay ko yahan Telangana bhavan mein Party ke MLAs, MLCs aur MPs ke aik ijlaas ki sadarat ki jis mein mukhtalif umoor bashamool intikhabaat, sarkari Schemes ke farogh aur Hyderabad ke muzafaat mein Outer Ring Road ke qareeb Kongara Kalan mein 2nd September ko munaqqid shudni ‘Pragathi Nivedana’ jalsa aam ka ihata kya gaya. Qabal azeen unhon ne Kongara Kalan ka daura karte hue jalsa ki tayarion ka mushahida kya. Zaraye ne kaha ke Mr. Chandrashekar Rao ne nishandahi ki ke TRS intikhabaat ka kabhi bhi saamna karne tayyar hai aur who is ziman mein munasib waqt par munasib faisla karen ge magar woh chahtay hain ke Party Cadre abhi se tayyar rahay. Muntakhiba numayindon ne Party sarbarah ko tayaqqun diya ke woh intikhabaat ke silsila mein un ke faisla ki pabandi karen ge. Aik senior Rukn e Assembly ne kaha ”Chief Minister ne hamein Pragathi Nivedata se Party Cadre ko mutharrik karne ke ziman mein zaroori Hidayat dein. Hum pur etemaad hain ke un ke ehkaam ki tameel hogi aur sarkari schemes ko awam tak pahonchayen ge. Aik Senior Wazeer ke mutabiq Mr. K. Chandershekar Rao ‘Pragathi NIvedata’ ke stage se hi aayindah intikhabaat mein muqaabla karne walay umeedwaron ki fehrist jari karen ge. Yeh jalsa e aam, mamool ka siyasi jalsa nahi hoga balkes is mein Telangana riyasat ki guzishta chaar barson mein taraqqi aur paishraft ka jaayeza paish kya jaye ga jabke Chief Minister 20 nukaati karkardagi report paish karen ge. Iss jalsa e aam ko ghair mamooli taur par kamyaab bananay har aik Legislatures par yeh zimma daari aayed ki gayi ke woh is jalsa mein apne apne Halqa e Assembly se 20 taa 30 hazaar logon ki shirkat ko yakeeni banaye. Yeh jalsa e aam Mulk ka sab se bada siyasi jalsa hoga. Iss jalsa e aam ko kamyaab bananay zilayee satah par Party kaarkunon ke ijlaas munaqqid kiye jayen ge. Jalsa e aam ko kamyaab bananay Mr. Chandershekar Rao Orgamozing Committee aur deegar Committees ka bhi elaan karen ge.