Monday, July 7, 2025
HomeHyderabadImams & Mauzzans ka remuneration 5,000 kardiya gaya

Imams & Mauzzans ka remuneration 5,000 kardiya gaya

Hyderabad. Chief Minister Telangana Mr.r K. Chandrashekar Rao ney Masjid ke Imams and Mauzzans ko Waqf Board ke tavassut se dyie jany walay remuneration (remuneration) ki raqam ko 1, 500 rupay se badha kar 5,000 rupay mahana kardainay ka elaan kya hai. Unhon ney kaha ke izafi shuda remuneration ki adai 1st  September se amal mein aeye gi. Chief Minister ke daftar se jari kardah press release mein bataya gaya ke Mulk bhar mein pehli martaba Telangana riyasat mein Aimma wo Mauzineen ko mahana remuneration ada karne ka silsila shuru kya gaya tha. Pehlay unhen mahana aik hazaar rupay dyie jatay thae jis mein izafah karte hue 1, 500 rupay kardiya gaya tha. Chief Minister ney kaha kay is raqam mein izafah karte hue 1st   September se itlaq ke sath 5,000 rupay kardiya gaya hai. Unhon ney kaha ke is faisla se Masajid ke 9,000 Imams aur Mauzzans ko faida puhanche ga.