Monday, July 7, 2025
HomeIndiaBuzurg sahafi Kuldip Nayar ab nahi rahay

Buzurg sahafi Kuldip Nayar ab nahi rahay

Hyderabad. Barr e Saghir Hind o Pak ke qalamkaar  sahafi janab Kuldip Nayar ka Dehli mein jumaraat ko mukhtasir si alalat ke baad bah umar 95 baras inteqaal hogaya. Janab Kuldip Nayar Punjabi thae magar un ki paidaiesh 1923 mein Sialkot mein hui thi. Indira Gandhi ney jab emergency nafiz ki thi to uss waqt janab Kuldip Nayar pahelay sahafi thae jinhein jail mein daal diya gaya tha. Woh Hind-Pak pur aman bahami taluqaat ke bohat baday wakeel thay. janab Kuldip Nayar  1947 mein Dehli se shaya honay walay Urdu akhbar ”Anjaam” se apni sahaafat ka aaghaz kiya tha. Sahaafat ke sath siyasat ka bhi woh taweel tajurbah rakhtay thae, aqwam e mutahidda mein Hindostan ke numainda aur Bartania mein High Commissioner of India rehne ke sath Rajya Sabha ke member bhi reh chuke, Hind o Pak ke darmiyan behtar taluqaat bananay ki unhon ney hamesha koshish ki aur isi par woh aksar likhte rahay, woh kayi baras tak pabandi se 14/15 August ko Amritsar mein waqay Hind o Pak ke Attari-Wagha par jaakar shama roshan karte rahay. 1923 mein Sialkot , Punjab Pakistan mein un ki paidaiesh hui wahein unhon ney wakalat tak ki taleem haasil ki, 47 mein hindostan aagaye aur waqalat karne ke bajaye sahaafat se wabista hogaye, phir yahin ki shehriat unhon ney hamesha ke liye ikhtiyar karli. Un ka column “between the lines” (bain as sutoor in Urdu) bahut maqbool huwa. Un ka column 80 se zayed akhbarat mein shaya huwa karta tha.