Hyderabad. Rukan Assembly Gosha Mahal Raja Singh Lodha ko mangal ke din Police ney giraftar karliya. Gau Raksha ke naam par qanoon ko hathon mein lainay par un ke khilaaf darj muqadmaat ke khilaaf ba taurr ehtijaj Hyderabad Police Commisionerate ke rubaroo dharna dainay ki dhamki par unhen girftar karliya gaya hai. Peer ki shab se Rukn Assembly ki rihayish gaah par Police ko taiynaat kardiya gaya tha aur jab woh Mangal ki subah apne ghar se bahar nikalney ki koshish ki to unhen girftar karliya gaya. Iss mauqa par Raja Singh ney baat cheet karte hue kaha ke Police, un Hindus ke khilaaf muqadmaat darj kar rahi hai jo gaaye ki rakhsa karne ki koshish kar rahay hain. Unhon ney Gau Rakshakon ke khilaaf darj muqadmaat se dast bardari ikhtiyar karne ka mutaliba kya aur woh chahtay hain ke jo gaayein zabt ki gayeen unhen Gaushalah muntaqil kya jaye, halaanke ab tak Eid ul Azhha ke silsila mein kisi gaaye ko zabt nahi kya gaya hai. Unhon ney intikhabaat ke paish e nazar kattar pasand Hindus ke vote batorne ki niyat se is saal Gau Raksha ke naam par na sirf BJP Party se istifa dey diya hai balkay kuch Hindu naujawanon ko ikhatta karte hue un ke Gau Raksha dal qaayim kiye hain aur unhen shaher ke muzafaat mein tolyon ki shakal mein bhaijtay hue Eid ul Azhha ke silsila mein janwaron ko muntaqil karne wali gadiyon ko zabardasti rok kar unhen apne qabza mein karne ki koshish kar rahay hain. Yahan yeh baat qabil e zikar hai ke khud Musalmanoon ney razakarana taur par kayi barson se gaaye ki qurbani na dainay ka faisla kya hai. Yeh sirf apne aap ko kattar Hindu saabit karne ke liye har saal Gau Raksha ke naam par uddham machate hain magar is martaba kuch ziyada hi kar rahay hain. Un ki inhi harkaton ki wajah se khud BJP Party ki riyasti unit ke qaayideen aajiz aachukay hain aur unhen party programmes se kayee dinon se door rakha gaya hai. Aisa lagta hai ke unhen khud yeh yaqeen hochla hai ke woh is martaba dubarah Gosha Mahal halqa Assembly se muntakhib nahi ho payinge is liye woh Gau Raksha ke naam par yeh sab drama baazi kar rahay hain.