Monday, July 7, 2025
HomeSliderMaidan e Arafat mein Jordanian Hajan ne bache ko janam diya

Maidan e Arafat mein Jordanian Hajan ne bache ko janam diya

Saudi Arab mein manasik e Hajj ki adai ke dauran maidan Arafat mein waqoof ke waqt aik Arduni (Jordanian) khatoon ne bache ko janam diya. Saudi Arab ki sarkari news agency ‘SPA’ ke mutabiq aik Arduni Hajn ko dard e zeh shuru honay ke baad Jabl e Rahma ke Hospital laya gaya jahan is ne bache ko janam diya hai. Hospital intizamia ki taraf se maa aur bacha ko har mumkin tibbi sahoolat muhayya ki gayi hai aur dono ki sahet tasalii bakhash hai. Waalid ne betay ka naam Jabal al Rhmah Hospital ke Director ki nisbat se ‘Wazah’ rakha hai.