Tuesday, July 8, 2025
HomeSliderKerala Seylaab ke mutasireen ko Gulf mumalik ka dast e taawun

Kerala Seylaab ke mutasireen ko Gulf mumalik ka dast e taawun

Hyderabad. Seylaab ke qhehar se dochar Kerala ke museebat zadgaan ki madad ke liye Gulf Mumalik aagay aaye hain. Maghribi asiayi mumalik mein guzishta 50 barson se zayed Keralites ki badi tadaad rehti hai. Sharjah ke hukmaraan Sultan Bin Mohammad Alqasmi ne hafta ke din Kerala ki madad ke liye 4 Crores rupey ki maali imdaad ka elaan kya hai. Mutahidda Arab Amaraat (UAE) ne bhi mumkina taawun ka teyqun diya hai. Gulf Mumalik mein Khelaji  awam ki qayim tanzeemen aur afraad ne Kerala mein seylaab ke mutasireen ki imdaad ke liye funds ikhatta karna shuru kardiya hai. Tawaqqa ki jarahi hai ke raza karana tanzeemon ki janib se Gulf Mumalik se taqreeban 100 crores rupay ki imdaad faraham ki jaye gi. Ameer UAE Khalifa Bin Zayed Al-Nahayan ne jummay ki shab twitter payam mein kaha ke UAE mein hamari kamyaab kahani ke pas e parda Kerala ke awam hamesha se rahay hain aur hanooz hain. Hum par khusoosi zimmadari hai ke hum khaas kar in muqaddas aur meheraban dinon mein mutasirah awam ki madad karen. Yeh bhi it-tila-aat mausool hui hain ke Sheikh Khalifa Bin Zaid Al-Nahayan ne Kerala mein Seylaab ke mutasireen ko raahat ki farahmi ke liye Shaikh Mohammad ki nigrani mein aik hangami Committee ki tashkeel ka hukum diya hai. Kerala kaaf ki 3 crore aabaadi ke taqreeban 10 feesad log riyasat mein nahi rehtay. Kerala ke har teesray ghar ka fard kisi na kisi Gulf Mulak mein kaam karta hai.