Tuesday, July 8, 2025
HomeSliderImran Khan Pakistan ke 22 wein Wazeer e Aazam muntakhib

Imran Khan Pakistan ke 22 wein Wazeer e Aazam muntakhib

Pakistan Tehreek e Insaaf ke Chairman o sabiq Cricket Captain Imran Khan ney aaj Qaumi Aassembly mein wizarat Uzma ka intekhaab jeet liya hai. Wazeer e Aazam ke intekhab ke liye 172 vote darkaar they jabkay  PTI Chairman Imran Khan ney 176 vote haasil kiye aur un ki mukhalifat mein khaday sabiq Wazeer e Aazam Nawaz Shareef ke bhai Muslim League (N) ke Sadar Shahbaz Shareef ney 96 vote haasil kiye. Parlimani ijlaas Speaker Qaumi Assembly Asad Qaisar ki nigrani mein huwa jabkay voting division ki buniyaad par ki gayi thi. Is se qabal Wazeer e Aazam ke intekhab ke liye Qaumi Assembly mein raaye shumari ka amal shuru wo mukammal huwa jis ke baad voteon ki ginti shuru kar di gayi thi .

Qaumi Assembly mein Tehreek e Insaaf aur itehadiyon ki tadaad 175 hai jabkay Muslim League (N) ke arakeen ki tadaad 97 hai. Peoples Party ke bhi Qaumi Assembly mein 54 arakeen hain taham unhon ne Muslim League (N) ke umeedwaar ko vote na dainay ka faisla kya hai jabkay 4 azad arakeen bhi Qaumi Assembly ka intekhab jeetay hain. Ijlaas mein Pakistan Peoples Party ke Co-Chairman aur sabiq Sadar Asif Ali Zardari ne shirkat nahi ki jabkay Chairman Bilawal Bhutto ne apne aik bayan mein kaha ke intekhabi amal mein hissa na lena hamara jamhoori haq hai. Ijlaas ke aaghaz mein Speaker ne arakeen ko qaayed aiwaan ke intekhab ke tareeqa e kaar se mutaliq aagah kiya jis ke baad ghantiyan bajanay ka hukum diya. Chairman Tehreek e Insaaf Imran Khan ke Qaumi Assembly pahonchney par mehmaan gallery mein maujood afraad ne khade hokar taliyan bajayen jabkay is mauqa par PTI arkaan ne naaray baazi ki. Wazeer e Aazam ke intekhab ki karwai dekhney ke liye mehmanon ki badi tadaad gallery mein aagai thi jis mein PTI ke karkunaan ki badi tadaad shaamil thi. Mehmanon ki gallery rush ke baayis band kar di gayi thi. Imran Khan ki Parliament House aamad ke mauqa par sahafion ne un se sawalaat kiye aur aik sawal ke jawab mein unhon ne kaha ke match abhi khatam nahi huwa, match jari hai, khawab abhi poora nahi huwa, aik marhala poora huwa. Imran Khan ke liye lobby ‘A’ aur Shahbaz Sharif ke liye lobby ‘B’ banai gayi thi. Aik lobby se Imran Khan ko vote dainay aur doosri lobby se Shahbaz Shareef ko vote dainay walon ko guzarna tha. Dono lobbies Speaker ke dayen aur baen janib waqay hain. Peoples Party ke arakeen ne intekhabi amal mein hissa nahi liya aur woh apni nashiston par hi baithay rahay jabkay Jamaat e Islami ke rukn Maulana Abdul Akbar Chitrali bhi apni nashist se nahi uthhe. Ijlaas ke dauran Muslim League (N)  ki janib se Peoples Party ko mananay ki aik aur koshish ki gayi. Shahbaz Sharif khud Chairman PPP Bilawal Butto ki nashist par gaye aur un se mulaqaat ki. Is mauqa par Javed Murtuza Abbasi sameit deegar rehnuma bhi un ke hamrah they taham Shahbaz Sharif ki koshish nakaam hui. Shahbaz Sharif ne blavl bhuto Zardari se apne haq mein vote dainay ki darkhwast ki jis par Bilawal Bhutto Zardari ne moazrat karli.