Hyderabad. Shehar Hyderabad mein aik Travels Agency ‘Al-Burraq Umrah aur Hajj’ waqay lakdi ka pull ke khilaaf Saifabad Police Station mein shikayat darj karwai gayi ke takhriban 52 afraad se Hajj par bhejney ka wada karkay dhoka diya gaya hai. Bataya jata hai ke Hajj par rawana honey ke khawhishmand hazraat se Travels Agency ne fikis 2.5 lakh rupay wusool kiye thay. Is terha Agency ney 1.30 crore rupay se zayed wusool karliye thay. Mutasireen ney Hajj ko rawaangi ki umeeden khatam hojane par Agency ke khilaaf Saifabad Police Station pahonch kar shikayat darj karwai. Mutasireen ney bataya ke kuch logon ney to teen mah qabal adai kar di thi jabkay kuch logon ney aik daidh mah qabal ruqomat ada kar diye thay. Aik mutasirah shakhs ney Police Station mein akhbaari numaindon se baat cheet karte hue kaha kay hamein dhoka diya gaya hai. Hum se Passport aur deegar ahem dastawizaat ruqomat sameit le liye gaye thay aur hamari teeka andazi bhi kar di gayi thi aur Asif nagar ke aik function hall mein hamari tahiati taqreeb bhi munaqqid ki gayi thi. Aik mutasira shaks ney bataya ke hamein aakhri martaba yeh bataya gaya tha ke hamari 13th August ko rawangi hogi magar uss din hamein bataya gaya ke Visa Endorsment nahi ho paaya hai is liye woh Hajj Visa ke bajaye Visit par Makkah Mukarama ko bhejney ki koshish kar rahay hain jis ko hum ney yeh kehte hue mustarad kardiya ke aisa karna ghair qanooni hai. Agency ney akhirkaar hamein hamaray Passports aur ruqumaat wapas lauta dene ka wada kya aur aaj Agency ke daftar pahunchney ke liye kaha gaya. Din bhar hamein yeh kehte hue taala jata raha hai ke abhi raqam nahi aayi hai. Aik aur mutasir ney bataya ke un ke chaar logon ka group tha jin se 10 lakh rupay wusool kiye gaye thay. Unhon ney bataya ke First Lancer ke Relief Hospital ke Dr. Afzal aur dosray bhi is Scandal mein mulawis hain, jinhon ney hamein na sirf iss Travels Agency ke zareya Hajj adaa karne ki targheeb di thi balkay wohi tamam umoor ki njaam dahi karte rahay thay, hatta ke ruqumaat bhi unhon ney wusool kiye thay magar aaj yeh keh rahay hain ke Travels Agency walay un ke sirf dost hain aur un ka is agency se koi talluq nahi hai. Mutasireen ney bataya ke Police ohdedaron ney kaha ke woh tahaqeeq karen ge. Police ney tahaal is khysoos mein koi muqadma darj nahi kya hai.