Warangal Zila Collector Mohtarma Amarapali Kata ney aik Video Channel ko video interview mein yeh tasleem kya ke unhen hukumat ki janib se allot kardah 133 sala qadeem Bangalow mein aik bhoot rehta hai. Un ke is iqraar par aik tanaza paida hogaya hai. Zila Collector ney haal hi mein muqami Web Channel ko dyie gaye aik interview mein kaha ke inhen yaqeen hai ke zila intizamia ki janib se inhen allot kardah sarkari Bangalow mein aik bhoot rehta hai. Un ka yeh video Social Media par Viral hogaya hai. Zila Collector ke is daaway ki kisi maahir e mafooq ul fitrat waqhiyat ke zareya tauseeq to nahi karwai gayi taham un ke is iqraar se aik tanaza paida hogaya hai ke woh zaeef ul-etqadi (Superstition) par yaqeen rakhti hain. Is video mein IAS ohdedar, Bungalow ke barey mein dilchusp maloomat ka tabadlah karte hue nazar aati hain sath hi unhon ney yeh id-daa kya ke is qadeem imarat mein un ke hamrah aik bhoot bhi deera jamaye hue hai. Is Bangalow ka sang e buniyaad 133 saal qabal yahan mamoor suprident superintendent Engineer ki ahliya Mrs George Palmer ney rakha tha. Yaad rahay ke Asif jahi daur mein george Palmer hi sarkain bichenay ke umoor ke nigran they. Woh mukhtalif muqamat bashamool Karimnagar, Warangal aur Khamam waghera mein sarkari Bunglow taamir karne ke bhi nigran they. Mohtarma Amarapali Kata ney is interview mein yeh bhi kaha ke 130 saal se ziyada qadeem is imarat mein shagaaf parney shuru hogaye hain. Unhon ney bataya ke imarat ke aik kamrah ki chhat 20 fit buland hai. Bangalow mein koonay hain jis ki wajah se barish ka pani imarat mein andar daakhil ho raha hai. Imarat ki Tazaeen ka kaam fi al-waqt chal raha hai. Zila Collector ney bataya ke un ka jaiza lainay se qabal Ohdedaron ney shayed taantrikon ko talabb kya tha aur pehli manzil par kuch jhaad phoonk ki thi. Unhon ney mujhe aagah kiya tha ke mein pehli manzil par shab bisri nah karoon jo store room ke tor par istemaal hota hai chunkay vha n aik bhoot hai. Zila Collector ney kaha ke unhon ney saaray ilaqa ki safai karwai hai magar Bangalow ki pehli manzil par raat guzarnay ki kabhi jurrat nahi ki chunkay wahan aik bhoot 133 saal se intzaar kar raha hai.