Tuesday, July 8, 2025
HomeIndiaAtal Bihari Vajpayee ki haalat naazuk

Atal Bihari Vajpayee ki haalat naazuk

Buzurag rehnuma Atal Bihari Vajpayee guzishta 9 hafton se AIIMS mein shareek. Wazeer e Azam Narendra Modi aur kai wuzraa Hospital puhanche. Sahet mein bigaar se arkaan e khandan ko bhi mutala kardiya gaya.

New Delhi. Sabiq Wazeer e Azam Atal Bihari Vajpayee ki tabiyat aaj aik baar achanak biggad gayi jo ilaaj ke liye All India Institute of Medical Sciences (AIIMS) mein shareek hain. Wazeer e Azam Narendra Modi ney AIIMS pahonchkar sabiq Wazeer e Azam ki sahet ke baray mein jankari haasil ki, woh taqreeban 50 minute tak Hospital mein rahay. Guzishta do dino se Vajpayee ko life support system par rakha gaya hai. woh is waqt bawiqaar Institute mein zair e ilaaj hain. Vajpayee ko gurde ki naali mein infection, pishaab ki naali mein infection, pishaab ki kami aur seenah ki sukad ke baayis 11th  June ko All India Institute of Medical Sciences mein shareek karwaya gaya tha, Diabities ke aarzah mein mubtala  93 sala qaayed ka aik hi gurda kaarkard hai aur unhen 2009 mein stroke bhi aaya jis ki wajah se un ki quwat e idraak congnitive abilities mein kami aagai thi. AIIMS ki janib se raat der gaye jari kardah Health Bulletin ke mutabiq guzashta 24 ghanton se un ki sahet naazuk hai aur unhen life support system par rakha gaya hai. Vajpayee ke arkaan khandan ko bhi mutala kardiya gaya hai. Markazi Wazeer Science and Tecnologi Harsh Vardhan, Wazeer Finance Arun Jetly, Wazeer Railway Pyush Goel, Wazeer Textile Smriti Irani aur deegar ney Hospital pahonch kar buzurag qaayed ki sahet ke baray mein jankari haasil ki.