Tuesday, July 8, 2025
HomeHyderabadMujhe na hi mautadil aur na hi Jaareh Hindutwa par yaqeen hai:...

Mujhe na hi mautadil aur na hi Jaareh Hindutwa par yaqeen hai: Rahul Gandhi

  • Modi se mere ikhtelafat Shakhsi nahi nazriyaati hain
  • Mulk mein badhti adam rawadari baayis tashweesh
  • Aqliaten khud ko ghair mehfooz samajhney lagi hain
  • Modi dobarah Wazeer e Azam nahi ban payenge
  • Meri Congress se shaadi hochuki hai

Hyderabad. Sadar Congress Rahul Gandhi ney kaha ke aaj wazeh kardiya ke who ‘Hindutva’ ke qaail nahi hai. Nah hi mautadil Hindutva par aur nah hi jarehana Hindutva par un ka aiqaan hai. Mudeer hazraat aur Senior Sahafion ke sath tabadlah khayaal karte hue Rahul Gandhi ney is baat se ittafaq nahi kya ke woh aksariati tabqa ko rijhaane aitdaal pasand Hindutva se maghloob hue hain. Unhon ney kaha ”woh kisi bhi noiyat ke Hindutva chahay woh naram Hindutva ho ya phir sakht geer Hindutva eeqaan nahi rakhtay.” Unhon ney kaha ke mazhabi rehnumaon se mulaqaat karna aur mazhabi muqamat ka daura karne mein koi qabahat nahi hai. Unhon ney  kaha ke Wazir e Azam Narendra Modi ke sath un ke ikhtelafat nazriyati hain, shakhsi nahi. Mr. Rahul Gandhi ney  id-diaa kya ke BJP aayenda Intikhabaat mein Lok Sabha ki 230 nashistain haasil nahi kar payin gi, is terha Narendra Modi ke dobarah Wazir e Azam ban’nay ka sawal hi paida nahi hota. Unhon ney  kaha ke Uttar Pradesh aur Bihar mein ghair BJP Partiyon ke maabain intekhabi mafahmat ke baayis to awwal BJP ki taaqat mein kami aajay gi, alawaazeen BJP ki kayi haami partiyan bashmole Shiv Sena Modi ke doosri miyad ke liye Wazir e Azam ban’nay ke haami nahi hain. Sadar Congress ney  kaha keBJP ko shikast dainay un ki party azeem tar ittehaad tashkeel dainay koshan hai. Woh purazm hain ke Congress ki zair e qayadat azeem tar ittehaad aayendha Hukumat tashkeel daigi. Unhon ney  is sawal ka raast jawab dainay se ehteraaz kya ke Congress aur deegar ghair BJP partiyon ke aksariyat haasil karne ki soorat mein Wazir e Azam kaun hoga? Unhon ney  sirf itna kaha ke is par gaur wo khouz kya jaye ga. Mr. Rahul Gandhi ney  aisa koi ahed bhi nahi kya ke Karnataka tarz par markaz mein Congress ko hatmi aksariyat haasil na honay ki soorat mein BJP ko iqtidaar se door rakhnay sab se badi party honay ke bawajood doosri partiyon ko tashkeel e Hukumat ki dawat denge? Parliament mein Wazir e Azam se un ke baghalgeer honay se mutaliq poochnay par unhon ney  kaha ke is ka maqsad yeh jatana tha ke woh fard se nafrat nahi karte. Unhon ney  kaha ke Wazir e Azam magar rad-e-amal mein sard thay. Unhon ney  ilzaam aed kiya ke Modi apne siyasi harifon ka ehtram nahi karte. Rahul Gandhi ney  Mulk mein badhti adam rawadari par tashweesh ka izhaar kya. unhon ney  kaha ke Aqliaten Adam tahaffuz ka shikaar mehsoos kar rahay hain. Unhon ney  kaha ke party ki reyasti units, Ilaqaayi satah par hum khayaal partiyon se ittehaad karne ke liye azad hain. Unhon ney  is yaqeen ka izhaar kiya ke Telangana mein Congress Iqtidaar mein aeyegi. Andhra Pradesh mein party ke muaqqaf se mutaliq istefsaar par kaha ke un ki party wahan apna muaqqaf behtar bana rahi hai. Unhon ney  kaha ke do crore nojawanon ko mulaazimaten faraham karne ke wada ko Modi ney  faramosh kardiya. Unhon ney  kaha ke China 24 ghanton mein 50,000 logon ko mulazmat faraham karta hai jabkay Hindustan mein is muddat mein sirf 458 mulaazmaten faraham hoti hain. Shadi se mutaliq istafsaar par Rahul Gandhi ney  kaha ke Congress ke sath un ki Shaadi kab hi ke hochuki hai.