Hyderabad. Aik baar phir Mulk bhar mein Zul Hijjah ke chaand ki Ruyat ke masla par mutazaad it-tila-aat aati rahen jis ki wajah se awam mein uljhan payi gayi. Hyderabad mein bhi Ruyat Hilal Committee ney ibtida mein adam Ruyat ka elaan kardiya tha taham baad azan faisla par nazarsani ki gayi. Sadar Majlis Ulema e Deccan ney bil akhir Zul Hijjah ka chaand nazar aane ka elaan kardiya. Markazi Ruyat Hilal Committee Sadar Majlis Ulema e Deccan ney qabal azeen chaand nazar anay ka elaan kardiya tha taham baad azan wazahat ki ke Madurai mein chaand nazar aaney ki ittila mausool hui jis par Chennai ke Qaazi Salahudding sahib se rabt paida karkay is ki tasdeeq haasil ki gayi aur sharai shahadat ki takmeel ke baad ruyat ki tasdeeq ki jati hai. Mausam barish ke baayis Mulk ke beshtar hisson mein matlaa abr-aalood rehne ki wajah se Ruyat Hilal mein dushwari paish aayi chunancha Mulk ke beshtar hisson mein ibtida mein adam Ruyat ka elaan kardiya gaya aur phir baad azan Ruyat ki tauseeq ke baad faisla par nazar e sani ki gayi. Ruyat Hilal ki tauseeq ke baad Hyderabad mein ab Eid uz Zuha 23rd August ki bajaye 22nd August ko hogi,taham Delhi mein Ruyat Hilal ke masla par raat dair gaye tak bhi uljhan baqi rahi.