Friday, July 4, 2025
HomeJurmHyderabadi naujawanon se NIA ki tafteesh aakhri marhala mein daakhil?!

Hyderabadi naujawanon se NIA ki tafteesh aakhri marhala mein daakhil?!

Hyderabad. Qaumi Tahqiqati Agency National Investigation Agency (NIA) ki markazi team jo guzashta aik hafta se Hyderabad mein camp kiye hue hai, January 2016 mein darj muqadma ke silsila mein apni tahaqeeq o tafteesh taqreeban mukammal karli hai aur tawaqqa hai ke Agency aaj ya kal is case ki peshraft ke baaray mein jaankaari deiy gi. Yaad rahay ke NIA ne January 2016 mein Islamic State of Iraq and Syria (ISIS) ke saath taluqaat qaayim karne aur dehshat gardanah kaarwaiyon mein mulawis honay ke ilzamaat ke tehat Mulk ke chand naujawanon ke khilaaf Delhi mein aik muqadma darj kya tha aur is case ke silsila mein jari apni tehqiqaat ko wusat dete hue mazeed tafteesh ke liye 6th August ko Hyderabad mein mukhtalif muqamat par chaapay maaray thaiy. Aisay hi aik chhapa Rachakonda Police Comssionarate mein Balapur Police Station ke hudood mein Shah Hills, Shaheen Nagar ke aik makaan par mara gaya tha aur aik 19 sala mushtaba naujawan se din bhar pooch gach ki gayi thi. Ghair musaddeqa zaraye ke mutabiq isi terha shaher ke deegar muqamat se bhi kuch naujawanon se pooch gach ki gayi thi. Un tamam naujawanon ko agarchay hirasat mein nahi liya gaya tha taham unhen mazkoorah muqaddama ke silsila mein jari chhaan been ke silsila mein NIA Branch Office waqay Begumpet haazir honay ki hadaayat di gayi thi, jahan un naujawanon se musalsal 5 dinon tak tafteesh ki jati rahi hai aur un ke mulawis honay ke baaray mein haqayiq ka pata chalanay ki koshish ki jati rahi hai. Maaloom huwa hai ke NIA ne apni taheqiqaat mukammal karli hai aur bataya jata hai ke Agency iss nateeja par pahonchi hai ke baadi-un-nazr mein un mushtaba naujawanon ke khilaaf dehshat gardanah sargarmion mein mulawis honay ke shawahid paye jatay hain. Zaraye se yeh bhi maloom huwa hai ke jin naujawanon se guzishta 5 dinon se tafteesh ki jarahi thi unhen rozana is hidayet ke sath shaam ko apne ghar jaaney ki ijazat di jarahi thi ke woh dosray din Agency ki shaakh ke daftar par haazir hon lekin hafta ke din kuch naujawanon ko ghar jaaney nahi diya gaya aur un ke arkaan khandan se kaha gaya ke woh unhen chod kar chalay jayen, jis se yeh andaza kya ja sakta hai ke Agency ke ohdedaron ki Hyderabad camp ke douran ki gayi tahaqeeq o tafteesh aakhri marhala mein daakhil hochuki hai. Samgha jata hai ke itwaar ke din naujawanon ko hirasat mein lainay ki qanooni karwaiya mukammal karli jayen gi aur un naujawanon ko peer ke din adalat mein paish karte hue un ka remand haasil karliya jaye ga. Yeh bhi tawaqqa ki jarahi hai ke Agency ki janib se Hyderabad camp ke douran ki gayi tahaqeeq o tafteesh aur un naujawanon ke mulawis honay aur un ki giraftari ke baaray mein aagah kiya jaye ga. Bataya jata hai ke NIA ko mushtaba naujawanon ke gharron par kiye gaye chapon mein kuch aisi ashya dastyab hui hain jin se un naujawanon ke dehshat gardanah sar garmion mein mulawis honay ke shubhat ko taqwiyat pahunchti hai. Yeh wisooq se nahi kaha ja sakta ke NIA ne aakhir kitney naujawanon se pooch gach ki hai aur un mein se kitney naujawanon ke khilaaf baadi-un-nazr mein jurm saabit hota hai aur NIA ki tehqiqaat hatmi marhala daakhil hogayi hai ya phir un naujawanon se ki gayi tafteesh aur ab tak ki tahaqeeq se koi naya pehlu samnay aata hai.