Tuesday, July 8, 2025
HomeHyderabadMusalmanoon se hubb ul-watni ki sanad maangna jahalat aur be waqoofi

Musalmanoon se hubb ul-watni ki sanad maangna jahalat aur be waqoofi

Aazadi ke liye hazaron Musalmanoon ney jaanun ka nazrana paish kya, qurbaniyan na qabil faramosh. Salaar e Millat Auditorium mein Seva aur Chishti Foundation ke seminar se mukhtalif ghair Muslim ashaab o danishwaron ka khitaab.

Hyderabad. Hindustan ki jad-o-jehad aazadi mein deegar aqwam ke muqaable Musalmanoon ka bhi barabar ka role raha hai. Aazadi ke 71 baras guzar jaaney ke baad Musalmanoon se hubb ul-watni ki sanad maangna jahalat aur be waqoofi hai. Ab waqt agaya hai ke tamam Hindustani is terha ki jahalat ke khilaaf uth khaday hon. Naamwar moarriq o maahir e taleem Captain L Pandu Ranga Reddy ney aaj Salaar e Millat Auditorium Urdu Maskan Khilwat mein Razakarana tanzeemon Seva aur Chishti Foundation Hyderabad ke zair e ihtimaam ”jad-o-jehad Aazadi hind mein Musalmanoon ka role” unwan par munaqidah Seminar se maheman khusoosi khitaab karte hue un khayalat ka izhaar kya. Seminar ki sadarat janab syed Haider Ali Engineer Sadar Seva ney ki. Captain L. Pandu Ranga Reddy ney kaha ke Hindustan ki Aazadi mein Hyderabadion ka bhi bohat bada role hai. 1857 mein Bartania ki Residency par hamla karne walay aalim e deen Moulvi Alaauddin aur Pathan Turrebaaz Khan thaiy, jis par unhen kala pani ki saza di gayi thi. Kothi College ke rubaroo sadak ko Turrebaaz  Khan se mausoom kya gaya lekin aaj koi bhi un ka naam nahi laita. ‘Jai Hind’ ka naara Subhash Chandra Bose ke saathi Hasan Safrani ney diya tha. Tirange ki tayyari ka sehra P. Venkaiah ko diya jata hai jo ke sara sar ghalat hai. Tiranga jhanday ka design Surayya Tayyab Jee ney tayyar kya tha yeh tamam Hyderabadi thaiy. Sardar Nanak Singh Nashtar Sadar International Sikh Center for Interfaith Relations ney apne khitaab mein kaha ke Hindustan mein Islam talwar ki bunyaad par nahi phela balkay buzurgon ke pyar o mohabbat ki bunyaad par deen ko farogh haasil huwa, yahan tak ke Golden Temple Amritsar ki jagah aur Nanded ke Grudwarah ki jagah bhi Musalmanoon ney atiyah di thi, Grudwarah ke liye araazi ki qeemat bhi lena Musalman malkin ney gawara nahi kya tha. Hyderabad riyasat par taqreeban 500 saal tak Musalman hukumaran rahay, unhon ney awaam ke dilon par hukoomat ki. Taqseem e Hind ke zimma daar Mohammad Ali Jinah nahi thay woh sirf Aazadi mein Musalmanoon ko barabar ka haq chahtay thay un ki daleel yeh thi ke woh aqliat ko aksariyat ka ghulam nahi banana chahtay, ab Dalai Lama ney khud kaha ke Nehru taqseem e Hind ke zimma daar thay, is se yeh baat saabit hoti hai ke Jinah Mulk ki taqseem ke zimma daar thay. Janab Syed Ahmed Pasha Quadri Motammad e Umomi Majlis o Rukn Assembly Charminar ney kaha ke Aazadi ki jad-o-jehad mein Musalmanoon ki qurbanion se nai nasal ko waaqif karwana zarori hai. Unhon ney kaha ke Urdu zabaan ney Aazadi ki tehreek mein aik jaan daal di thi, ‘Inquilab Zindabad’ ke naara se Angrezon ko sakht pareshani thi. Ulma karaam Tehreek Aazadi ke moujjid thaiy. Hindustan tamam mazahab ke maanne walon ka aik guldasta hai jahan tamam pyar wo mohabbat se rehtay hain lekin baaz firqa parast taqaten hamein aapas mein taqseem karna chahti hain, hamein apne Hindustani honey par fakhr hai. Unhon ney kaha ke zulm ke sath hukmarani nahi ki ja sakti. malik mein tamam ke sath masawi insaaf hoga to Mulk mazeed taraqqi kere ga. Dig Vijay Jain advocate (Jain Singh Hyderabad) ney kaha ke Hindustan, Sri Ram, Gautam Budh aur Khwaja Ghareeb Nawazrh ki sarzamen hai lekin bad qismati se yahan firqa parast taqaten janam le kar baaz sawal utha rahi hain. Jad-o-jehad Aazadi mein Musalmanoon ke role ko janney ke liye firqa paraston ki sanad ki zaroorat nahi hai. Dig Vijay Jain ney kaha ke Gandhi ji ki satiya girah tehreek ke zimmadaar Battak Miyan Ansari thaiy. Angrezon ke khilaaf Gandhi Ji ki tehreek adam taawun par Kerala se 2337 Musalmanoon ney apni jaanun ka nazrana paish kiya tha. Sarhadi Gandhi Khan Abdul Gaffar Khan ki aawaz par Peshawar ke qissa khawani bazaar mein taqreeban 200 Pathanon ney apni jaanen watan ke liye qurbaan kar di theen. Kakuri train waqea mein teen mujahideen ko kaala paani ki saza di gayi thi jin mein Ashfaqullah Khan Shaheed shaamil thay. Mulk ki kayi riyaston ke rajaaon Rani Laxmi Bai, Nana Bhai Peshwa aur Maha Rana Partab ke sipah salaar Musalman thaiy. Aazadi ki pehli jung Palasi mein Siraj ud Dowla ney Angrezon se muqaabla kya. Digvijay Jain ney kaha ke naiy Bharat ki taamer ke liye tamam Hindustanyon ko mil kar jad-o-jehad karne ki zaroorat hai. Mohtarama Sudha Jain Miss India Asia Pacific 2017-18 ney kaha ke Aazadi ki ladai mein khawateen bilkhushoos Muslim khawateen bhi shaamil theen. Begum Hazrat Mahel ki qurbanion ko faramosh nahi kiya ja sakta. Unhon ney apne amal, kirdaar aur shairi ke zareya Aazadi ke matwalon mein hararat jagayee. Abadi Bano Begum jinhein B amma ke naam se bhi jana jata hai inhen apne bachon ke sath Aazadi ka naara laganey par pakad liya gaya tha, woh bapardah khatoon honey ke bawajood jad-o-jehad Aazadi mein shareek theen. Moulana Syed Mohammad Ali Quadri Al-Hashmi  Mumshad Pasha Sadar markazi Majlis Qadriah ney kaha ke Delhi ki Jamia Masjid se allama Fazl Haq Khairabadi ney sab se pehlay Angrezon ke khilaaf jehaad ka Fatwa jari kya jis ke baad 1857 ki paheli Jung e Aazadi ka waqea paish aaya. Is ke baad jitni bhi tahriken bapaa huien un mein ulama aur mashaiykh paish paish thay. Convenor seminar janab Shujauddin Ifteqari Haqqani Pasha Sadar Chishti Foundation wo Naib Sadar Seva ney khair maqdami khitaab kya aur karwai chalaye. Aakhir mein janab Mohammad Mastan Secretary Seva ney shukriya ada kya. Nawab Abrarullah Khazin Seva wo General Secretary Chishti Foundation, janab Mohammad Makhdum Ali Khan secretary M K Education Society aur Siraj Mohiuddin Ifteqari Aadil Pasha Secretary Chishti Foundation ney intizamaat ki nigrani ki aur mehmanon ka khair maqddam kya. Saint Sulaiman School ki talibaat ney ibtida mein qaumi geet aur aakhir mein qaumi taranah paish kya.