Tuesday, July 8, 2025
HomeHyderabadEid uz Zoha ke mauqa par paki ko yakeeni bananay ‘‘Team Bakrid’’...

Eid uz Zoha ke mauqa par paki ko yakeeni bananay ‘‘Team Bakrid’’ mutharik

Hyderabad. wazeer e dakhla Mr. Naini Narsimha Reddy ne Eid uz Zoha ke mauqa par safai suthrayi ke liye ‘Team Bakrid’ ki janib se guzishta do barson se jari muhim ki satayish ki aur kaha ke aayindah Baqr Eid ko hum Musalman aur Hindu bhai mil kar pur-aman aur shandaar andaaz mein manayeen ge aur apne apne ilaaqon mein safai suthrayi ka khaas khayaal rakhen ge. Baqr Eid ke mauqa par safai suthrayi ke liye mahkuma Police aur mehakma baldia ki janib se bhi bharpoor taawun kya jaye ga. Unhon ne is khusoos mein ‘Team Bakrid’ ki janib se chalaye jaane wali Tehreek ki satayish ki. Moulana Ilyas Shamsi khateeb Masjid Osmania Sultan Bazar o Sadar Reformers Front of India ne teen saal qabal Baqr Eid ke mauqa par zabihah janwaron ke ghair mustamla ajzaa (unused parts) ko phaink dyie jaane se phaelnay walay taffun aur is ke sehat aama par honay walay asraat ko mehsoos karte hue aik tehreek shuru ki thi aur awam se khwahish ki thi ke woh zabihah janwaron ke ghair mustamila aaza ko sadkon par phaink dainay ki bajaye inhen kachrah kundyon mein hi dalain. Unhon ne is khusoos mein Police aur GHMC ohdedaron se bhi rabita qayim karte hue Baqr Eid ke teen dinon ke douran safai ke liye khusoosi muhim chalanay par razamand karliya. Is khusoos mein moulana Ilyas Shamsi ne naujawan samaji kaarkunon ki aik team hi tashkeel dey di jo raza karana taur par Eid e Qurbaan ke mauqa par sargaram rehtay hain aur Police aur GHMC ohdedaron se taawun o ishtiraaq karte hue qurbani ke janwaron ki nakara ashya ki aajilaana nikasi ko yakeeni banatay hain. yeh team badhtay badhtay ab taqriban 500 samaji jahedkaaron ki aik mazboot team ban gayi hai jo shehar ke mukhtalif ilaaqon mein Baqr Eid ke mauqa par sargaram hotay hain. molana Ilyas shamsi ka kehna hai ke islam mein taharat/paaki ko badi ahmiyat di gayi hai. Isi terha aik Musalman kisi ke liye takleef dah nahi ho sakta, lekin hum ne jab yeh mehsoos kya ke hamari thodi si be ahteyati ki wajah se na sirf dosaron ko takleef pohanchti hai balkay hamari apni sahet par bhi is ke muzir asraat muratab hotay hain is liye hum ne Baqr Eid ke mauqa par yeh tehreek shuru karne ka faisla kya tha jis ke bohat hi musbit nataij bar aamad hue hain. Hamein sarkari mehakmon ki janib se bharpoor taawun haasil ho raha hai.