Hyderabad. Hyderabad “She Teams” ne aaj awaami nizaam hamal o naqal (Public Transport) mein harasani ke khilaaf muhim ke hissa ke taur par Metro Trains mein shaoor baydaari muhim chalaye. Mohtarma Shikha Goel Additional Commissioner of Police Crimes o Incharge She Teams ne aaj Metro Trains mein Ladkiyon aur khawateen ke sath chaid chhad aur harasani ke insidaad ke liye chalaye jaany wali muhim mein hissa liya. Unhon ne bataya ke ‘Hyderabad She Teams’ ne July ke maheena mein public tansport mein harasani ke khilaaf muhim ka aaghaz kya tha. Guzishta hafta ‘Radio Mirchi’ ne bhi is muhim mein ishtiraaq shuru kardiya. Mohtarma Shikha Goel ne kaha ke is muhim ke hissa ke taur par MMTS, RTC basoon aur Autos mein She Teams ke ohdedaron ne safar kya aur un mein safar karne wali khawateen aur Ladkiyon se baat cheet karte hue bataya ke woh bilaa khauf safar karen aur zaroorat padney par Police ki madad haasil karen. Unhon ne bataya ke She Teams ki is muhim ka maqsad yeh hai ke kisi bhi ladki ko kisi bhi qisam ki harasani na ho aur woh aazadana taur par jab chahay jahan chahay bilaa khauf safar karen. Inhen kisi se darnay ya khaufzadah honay ki zaroorat nahi. Agar aisi ko yi nagehani baat hojaye to 100 Dial karen, Police aap ki madad ke liye 5-10 minute mein pahonch jaye gi. Unhon ne yeh bhi kaha ke khawateen ke liye Hyderabad duniya ke mehfooz tareen shehron mein se aik hai aur hamara maqsad hai ke Hyderabad ko sare fehrist muqam par pohanchaye. Unhon ne Hyderabadi naujawanon ki satayish karte hue kaha ke beshtar ladke shareef hotay hain aur woh Ladkiyon se chaid chhaad nahi karte. Unhon ne kaha ke woh doosron ko bhi Ladkiyon ko harasan karne se rokain aur apnay doston ki bhi hausla afzai karen.