Tuesday, April 30, 2024
HomeOthersOpinion''Urdu ka mustaqbil talaash karne ki bajaye Urdu mein apna mustaqbil talaash...

”Urdu ka mustaqbil talaash karne ki bajaye Urdu mein apna mustaqbil talaash kya jaye”

Mulk mein bachon ke rasayel ki tadaad sirf baara hai yeh tadaad aur badhni chahiye. Maulana Azad National Urdu University mein janab Farooq Sayyad mudeer ‘Gul Bootay’ ka khitaab.

Hyderabad. Urdu zabaan ka mustaqbil taabnaak hai yeh mazeed taabnaak ho sakta hai agar ahley Urdu ‘Urdu ka mustaqbil talaash karne ki bajaye Urdu mein apna mustaqbil talaash karen. Urdu zabaan ki taraqqi ke liye be laus khidmat aur Urdu se junoon ki had tak lagao ki zaroorat hai’. In khayalat ka izhaar Urdu ke mashhoor o maqbool mahanaamh ”Gul Bootay” (Mumbai) ke mudeer janab Farooq Sayyad ney kal shouba e Urdu Maulana Azad National Urdu University mein apne khitaab ke douran kya. Unhon ney kaha ke riyasat Maharashtra mein Urdu zareya taleem ki soorat e haal bohat behtar hai. Wahan baaz aisay Urdu Medium School bhi hain jahan dakhlay ke liye talba ke walidain aadhi raat se qataar mein lagey rehtay hain. Urdu Medium ke talba zehni salahiyaton mein kisi aur medium ke talba se kam nahi, zaroorat un ki salahiyaton ki shanakht aur un ki tarbiyat ki hai. Urdu mein bachon ke adab ke maslay par roshni daaltay hue unhon ney kaha ke Urdu mein bakasrat adab takhleeq kya gaya hai lekin bachon ki umar, un ki zehni satah aur un ki nafsiaat ko zahen mein rakh kar bohat kam likha gaya hai. Lekin risala Gul Bootay bachon ke adeebon, shayron aur bachon ke liye naye likhnay walon ki hausla afzai kar raha hai. Is risalay ke tahet bachon ko musabiqati imthehaan ke liye tayyar karne ki gharz se taleemi muqablon ka ineqaad amal mein aata hai. Un muqablon ke liye Urdu karkun tamam Urdu Medium Schoolon tak pahunchte hain. Bachon ko muqablon mein taqreeban pachaas hazaar Urdu medium ke talba hissa letay hain. Jinhen giraan qader inamaat diye jatay hain is ke alawa ghareeb aur mustahiq talba jahan tak woh padhna chahain un ki taleemi fees ka intizam kya ja taa hai. Yeh saaray kaam mukhlis muhibban e Urdu aur Urdu ke belaus khidmat guzaron ke taawun se anjaam diye jatay hain. Aaj ke zamana mein Urdu ka risala chalana bohat mushkil hai lekin ‘Gul Bootay’ asal laagat se kam qeemat par bachon ko faraham kya jata hai. Is waqt Mulk mein bachon ke rasayel ki tadaad sirf baara hai yeh tadaad aur badhni chahiye lekin is ke liye Urdu walon ko agay aana hoga. Professor Naseemuddin Farees sadar shouba e Urdu ne shouba mein janab Syed Farooq aur Dr. Syed Abid Moiz ka khair maqddam kya. Dr. Musarrat Jahan Assistant. Professor shouba e Urdu ne ijlaas mein mehmanon ka isteqbaal kya aur shukrie ka khush gawaar fareeza anjaam diya. Is nashist mein shoubey ke tamam asatizah, Reserch Scholars aur talba ney kaseer tadaad mein shirkat ki.