Chairman Pakistan Tehreek-e-Insaf Imran Khan 18th August ko Pakistan ke Wazeer e Azam ke ohday ka halaf leinge. Is baat ka izhaar Tehreek Insaaf ke senator Faisal Javed Khan ney kya hai, unhon ney bataya ke Imran Khan 18th August ko Wazeer e Azam ke ohday ke liye halaf leinge. Ibtida mein kaha ja raha tha ke woh 11th August ko halaf lenge phir baad mein 13th August aur is ke baad 15th August ke hawalay se khabrain garam theen ke is din Imran Khan bataur Wazeer e Azam Pakistan ohda ka halaf lenge. Sadar Mumlikat Mamnoon Hussain ney Qaumi Assembly ka ijlaas 13th August ko talab kya hai, is ijlaas mein nau muntakhib arakeen Qaumi Assembly halaf leing jis ke baad Speaker aur Deputy Speaker Qaumi Assembly ka chunao hoga, Wazeer e Azam ke intikhab ke liye Assembly ijlaas yaum e azaadi ki tateel ke baad talab kya jaye ga. Zaraye ke mutabiq Pakistan Tehreek-e-Insaf ke Chairman Imran Khan 18th August ko vuzaratِ e uzma ka halaf leinge PTI ke rehnuma o Senator Faisal Javed ney bhi 18th August ki tareekh muqarrar honay ki tasdeeq kar di. Doosri janib hizab e ikhtilaaf ke grand alliance ney Imran Khan ke madd e muqabil Muslim League (N) ke Sadar Miyan Shahbaz Sharif ko vuzaratِ uzma ke liye umeedwaar naamzad kya hai, Peoples Party ke Khurshid Shah ko Speaker Qaumi Assembly aur Mutahidda Majlis Amal ke maulana Asad Mahmood ko Deputy Speaker ka umeedwaar naamzad kya hai. Wazeh rahay ke aam intikhabaat 2018 mein Pakistan Tehreek-e-Insaf ney Qaumi Assembly mein bhaari aksariyat haasil ki jis ke baad wifaq mein hukoomat bananay ke liye is ki ittihadi jamaaton mein MQM, BNP (Mengal), BAP aur Muslim League (Q) shaamil hain jabke PTI ko ab taq mutadid azad umeedwaron ki himayat bhi haasil hochuki hai. ilawa azeen election commission of Pakistan ney vote ki raazdari zahir kar ney par azkhud notice case mein Chairman Pakistan Tehreek-e-Insaf Imran Khan ki maafi qubool karli. Election Commission of Pakistan ney Imran Khan ki maafi qubool karne ke baad un ki NA 53 se kamyabi ka notification jari karne ka hukum bhi dey diya hai.