Nayeb Sadarnasheen Rajya Sabha ke liye TRS ney BJP ke himayati umeedwaar ki taayeed ki. Telugu Desam Party ney Congress umeedwaar ke haq mein vote diya. YSR Congress Party ney raaye-dahi se ijtinaab kya.
Hyderabad. Rajya Sabha mein aaj TRS ke tamam 6 arkaan ney Parliament ke aiwaan baala ke Nayeb Sadarnashin ke bawaqar ohda ke liye jntadl (U) ke umeedwaar Harivansh Narayana Singh ke haq mein vote dete hue UPA ke haami Congressi umeedwaar B.K. Hari Prasad NDA ke tayeedi umeedwaar ki kamyaabi ki raah hamwar ki. Harivansh ney 20 votes ki aksariyat se kamyaabi haasil ki. Janata Dal umeedwaar ko 125 aur Congressi umeedwaar ko 105 votes haasil hue. Tawaqqe ke mutabiq Telugu Desam Party jis ney Andhra Pradesh ko khusoosi muaqqaf ataa karne mein nakaami par BJP se apne taluqaat munqita karliye, NDA umeedwaar ke khilaaf vote dete hue apni barhami ka izhaar kya. Telugu Desam ke arkaan Rajya Sabha ney Congressi umeedwaar ke haq mein vote diya. YSR Congress Party ney pehlay hi yeh elaan kardiya tha ke woh raye dahi mein hissa lainey se ijtinaab karegi. Nayeb Sadarnashin Rajya Sabha ka intikhab 2019 ke aam intikhabaat mein barsar e iqtedaar BJP ki zair e qiyadat NDA aur Congress ki zair r qiyadat UPA ke liye jaanch ka paimana tasawwur kya ja raha tha. Rahul Gandhi ke Congress ki qiyadat sanbhaalne ke baad aik ahem tabdeeli yeh aayi ke kay wo partiyan jo Congress ka sath dainey amaada nahi theen woh Congress ke sath mafahimat karti nazar aa rahi hain. Agarchay TRS ney Rajya Sabha ke Nayeb Saddarnashin ke liye ki jaane wali raye dahi mein kis ki taayeed kere gi wazeh nahi ki thi. Intikhabaat se qabal Chief Minister Bihar Mr. Nitish Kumar ney KCR se rabita karte hue un ki Party ke umeedwaar ko kamyaab bananey mein taawun karne ki khwahish ki thi. Yeh poochney par ke aaya BJP, TRS ko NDA ke naey haleef ke taur par dekhtii hai? Telangana BJP ke tarjuman Krishna Sagar Rao ney kaha ke hum TRS ko an d ae ke imkani Haleef ke tor prnhin dekhte, lekin hum nahi jantay ke 2019 aam intikhabaat ke kya hoga. BJP se TRS ki qurbat ko kuch arsa se mehsoos kya ja raha tha aur yeh baat wazeh hoti jarahi thi ke BJP ke teyin TRS naram gosha rakhti hai. Talaq e salasa par bill ke masla par ho ya Modi Hukoomat ke khilaaf tehreek adam etemaad ka masla TRS ney raye dahi se ijtinaab kya tha magar is martaba BJP ke tayeedi umeedwaar ke haq mein vote dete hue yeh wazeh ishara dey diya hai ke woh BJP ke sath chahay intikhabi mafahmat kere ya na kere magar woh aiwaan mein BJP ki hamnawa bani rahay gi.