Wednesday, July 9, 2025
HomeIndiaNafrat o tashadud ke khilaaf khawateen ki Mulkgeer muhim

Nafrat o tashadud ke khilaaf khawateen ki Mulkgeer muhim

Hyderabad. Nafrat ke maahol mein aman ke payam ko aam karne Mulk ki khawateen uth khadi hui hain. Yeh pehal khawateen ne shaed is liye bhi ki hogi ke nafrat aur tashadud ka sab se ziyada khumyaza inhen hi bhugahtna padega. Qaumi satah par huqooq insani ke liye sargaram khawateen ne is khusoos mein beda uthaya aur 22nd  September taa 13th  october 2018 Mulk bhar se khawateen ki paanch riyaalian nikaalne ka faisla kiya gaya hai. Yeh riyaalian Kerala, Tamlinadu, Jammu and Kashmir , Shumal Mashriqi Hindustan aur Delhi se Delhi tak nikaali jayen gi. Har riyaalian mein kam az kam 25 khawateen hissa lengi. Is dauraan 200 Shehron aur Gaon ka ihata kya jaye ga. Mumtaz samaji jahedkaar mohtarma Shabnam Hashmi bataya ke adam tashadud Hindsutan ke liye Hindustan ki khawateen ki janib se ihtimaam kiye jane walay is March ”Battain Aman Ki” ka maqsad nafrat aur tashadud ke mahol mein pyar, mohabbat aur aman ke payam ko aam karna hai aur logon tak yeh payam pahunchana hai ke nafrat aur tashaddud se kuch haasil nahi hoga balkay pyar aur aman ke zareya hi hum is Mulk ko taraqqi ki raah par gamzan kar saktay hain. Unhon ne kaha ke hamara asal maqsad Dastoor par jo hamla kya jarha hai is ko rokna aur jamhuriat ko bachana hai. Unhon ne bataya ke yun to is Mulkgeer tehreek se hazaron tanzeemen jari rahen gi magar har rally mein kam az kam 25 khawateen hamesha rahen gi, yeh rallyian october mein Dehli poanch kar aik jalsa mein tabdeel hogi. un tamam rallyon ke liye malia muqami taur par hi tanzeemen apne taur par kar rahi hain. Is khusoos mein aaj yahan ‘Lamakaan’ Banjara Hills par khawateen ki mukhtalif tanzeemon ka aik ijlaas munaqqid huwa jis se mohtarma Shabnam Hashmi aur deegar khawateen ne khitaab kya aur rally ke inseraam ke silsila mein Laiha amal ko qatiyat di.