Wednesday, July 9, 2025
HomeIndiaHafta ko Suraj Gahen magar Hindustan mein nzarah nahi kya jasakey ga

Hafta ko Suraj Gahen magar Hindustan mein nzarah nahi kya jasakey ga

Hyderabad. Jaria saal ka aakhri Suraj Gahen (Solar Eclips) 11 August ko waqay hoga taham Hindustan se is ka mushahida nahi kya jasakey ga. Chand khabar rasan idaron aur News Portals ke zareya Hindustan mein bhi Suraj Gahen ka nzarah kiye jane se mutaliq kiye gaye id-daa ke baayis aik uljhan paida hogayi hai magar haqeeqat yeh hai ke 11th  August ko wuqoo pazeer honay wala juzwi Suraj Gahen, Hindustan mein qabil  e deed nahi hai. Is juzwi Suraj Gahen sirf mehdood ilaaqon mein hi mushahida kya ja sakta hai. 11th  August ko waqay honay walay Suraj Gahen ka mushahida duniya ke chand hisson mein hi kya ja sakta hai jaisay Shumali o Mashriqi Asia, Europe mein Scandinavian region( Norway , Swedan Denmark aur Finland, Iceland aur Feurio jazair ) Greenland, Nunavat ke atraaf Canada ke barfani khitton aur Shumal Maghribi Hissa. Suraj Gahen is waqt runuma hota hai jab Suraj aur zameen ke darmain chaand haail hojata hai. Suraj Gahen umooman amavas ko aur chaand Gahen, punam ko waqay hota hai. 11th  August ko waqay honay wala Suraj Gahen pehlay muqam par aalmi miyaari waqt ke mutabiq 08:02:08 bajey( Hyderabadi waqt ke mutabiq 13:32:08 yani daidh bajey din) ko shuru hoga, azam tareen Gahen 09:46:24 bajey(Hyderabad ke waqt ke mutabiq 15:16:24 yani sawa teen bajey seh pahar) hoga aur aakhri muqam par juzwi Suraj Gahen ka mushahida11:30:40 ( Hyderabad ke waqt ke lehaaz se 17:00:40 yani 05:00 bajey shaam) tak dekha jasakay ga. Aik baat qabil e zikar hai ke kabhi bhi Suraj Gahen tanha wuqoo pazeer nahi hota hai. Yeh hamesha Chaand Gahen ke do hafton qabal ya baad runuma hota hai. Umooman mutawatar do Gahen hotay hain aur kabhi kabhar aik hi Gahen mausam mein teen bhi waqay hotay hain. 11th August ke Suraj Gahen ke baad 5-6 January 2019 ko juzwi Suraj Gahen waqay hoga jo Asia aur Pacific khitta mein dekha jasakay ga jabkay 20-21 January ko kaamil Chaand Gahen hoga jo Europ, Asia, Africa , North America , Pacific, Indian Ocean aur Antartic mein dekha jasakay ga.