Hyderabad. National Investion Agency NIA ney Hyderabad ke 8 naujawanon se aaj mutawatir dosray din bhi apne daftar waqay Begumpet mein tafteesh jari rakhi aur samjha jata hai ke kal yani jumeraat ko bhi mazeed tehqeeq ki jaye gi. Bataya jata hai ke un 8 mushtaba naujawanon ke alawa mazeed 4 naujawanon se bhi mobayyana pooch gach ki. Jin naujawanon se tafteesh ki gayi woh Balapur Police Station ke hudood mein Shaheen Nagar aur Pahadi Shareef se talluq rakhtay hain. Hyderabadi naujawanon se pooch gach se aghz kardah natayij aur un naujawanon ke baarey mein abhi tak kuch bhi nahi kaha hai taham maloom huwa hai ke yeh jaanch hanoz paya takmeel ko nahi pohanchi hai chunkay un naujawanon ko jumaraat ke din bhi agency ke daftar pounchanay ki hadaayat di gayi hai. Zaraye ke bamawajib Agency ke ohdedar un naujawanon ke aik dosray ke saath rawabit ke sath sath Abu Dhabi ke ISIS Module ke sath un naujawanon ke taluqaat par tavajjuh markooz ki hai aur is silsila mein January 2016 mein aik muqadma darj kya gaya tha. Bataya jata hai ke un naujawanon ke gharon par kiye gaye dhaavon mein zabt kardah ashya ke baarey mein istefsaraat kiye gaye.