Wednesday, July 9, 2025
HomeIndiaQaumi dar-ul-hukoomat mein bheek maangna jurm nahi: High Court

Qaumi dar-ul-hukoomat mein bheek maangna jurm nahi: High Court

Delhi High Court ney 16th May ko istafsaar kya tha ke aaya kis terha us Mulk mein bheek maangna jurm ho sakta hai jahan hukoomat, giza aur mulazmat faraham karne se qassar ho.

Delhi High Court ney budh ke din qaumi dar-ul-hukoomat mein yeh kehte hue ke bheek mangney ko na qabil taazeer qarar diya ke bheek mangney ke amal par jurmana aayed karne ki gunjayeshen ghair dastoori hai aur khatam kardainey ki mutaqazi hain. Kaarguzar Chief Justice Gita Mittal aur Justice C Hari Shankar par mushtamil ek bench ney kaha ke is faisla ka hatmi nateeja yeh hoga ke bheek mangney ka mobayyana irtekaab karne walay afraad ke khilaaf ‘Qanoon Bombay Insdaad Gadagari’ ke tehat qanooni karwai ke khtama ki mutaqazi hogi. Adalat ney kaha ke Dehli Hukoomat, maamla ke samaji o iqtisadi pahelu par tajruabaati tajzia ke baad jabri gadagari ke kisi racket ka khatema karne mutabadil qanoon saazi kar sakti hai. Bench ney kaha ke qanooni gunjaish jo gadagari ko aik jurm tasawwur karti hai aur zimni umoor jaisay is jurm se nimatney mein ohdedaron ke ikhtiyarat ki Dehli tak wusat ghair dastoori hai aur khtama ki mutaqazi hai. High Court ney 16th  May ko istafsaar kya tha ke aaya kis terha us Mulk mein bheek maangna jurm ho sakta hai jahan hukoomat, giza aur mulazimat faraham karne se qassar ho. High Court mafaad aama ki do darkhwaston se nimat rahi thi jis mein istedua ki gait hi ke gadagari ko na qabil taazeer qarar diya jaye. Markazi Hukoomat ney kaha tha ke agar gurbat ki wajah se bheek mangi jaye to woh jurm nahi hona chahiye. Mumtaz samaji jahedkaar Harsh Mandar aur Karnika Suhwani ney mafaad e aamma ki darkhwast mein istedua ki thi ke gadagari ko na qabil istighasa qarara dainey ke ilawa qaumi dar-ul-hukoomat mein bheek maangne ke liye bunyaadi insani aur asaasi hauooq dyie jayen. Unhon ney shaher mein bhikaryon ke liye maujood tamam homes mein munasib giza aur tibbi saholaten faraham kiye jayen. Markazi hukoomat aur AAP Hukoomat ney 2016 mein Adalat ko bataya tha ke wizarat samaji insaaf gadagari ko na qabil taazeer qarar daine aur gadagron aur be gharon ki baazabadkaari ke liye aik mussavvida bill tayyar kia tha lekin qanoon mein tarmeem ki tajweez ko baad azan tark kardiya gaya. Mazkoorah qanoon ke mutabiq gadagari par pehli saza ki soorat mein 3 baras se zayed ki saza e qaid aur aiaada par 10 saal qaid ki saza ka hukum dainey ki gunjaish faraham karta hai. Fi al-waqt gadagari par koi markazi qanoon nahi hai aur beshtar riyaston ney Bombay Insdaad Gadagari Qanoon 1959 ko ikhtiyar kya hai ya phir is ki tarz par apna qanoon waza kya hai jo gadagari ko jurm grdanta hai.