Sajjad ul Hasnain ka ba-haisyat Sadar intikhab. Shujauddin Ifteqari Moutemad e Umoomi muntakhib. TUWJU ko zilai o riyasti satah par mazeed mustahkam bananay par ghaur o khouz. Union ke ohdedaron ka ijlaas.
Hyderabad. (press note) Telangana Urdu Working Journalists Union (TUWJU) ki riyasati committee ka aik ahem ijlaas itwaar ko Noble Hall, Mustafa Towers, Lakdi ka pul mein munaqqid huwa jis mein Union ki Hyderabad Unit ki tashkeel amal mein layi gayi. Tanzeem ke ohdedaron aur arkaan ki mutafiqa raaye se Senior sihafi janab Sajjad ul Hasnain ko Hyderabad unit ka Sadar muntakhib kya gaya jabkay janab Mohammad Shujauddin Ifteqari ka moutemad e Umoomi (Secretary General) ke taur par intikhab amal mein aaya. Isi terha Sayyad Yahya Pasha Quadri, Mohammad Saghiruddin, Mohammad Asif Ali aur Mohammad Hussamuddin ko Nayeb Sudoor muntakhib kya gaya. Organising Secretaries ke taur par Khaleel Farhad, Anees ur Rahman, Syed Baqar Hussain, Mohammad Subhan, Nawab Abrar aur Mohammad Wajidullah Khan ko muntakhib kya gaya. Mohammad Abdul Mohsin, Mustafa Mohsin, Mohammad Manzoor aur Mohsin Sheikh ka Secretaries ki hesiyat se intikhab kya gaya. Mohammad Muttabe Ali Khan ko Khazin muqarrar kya gaya jabkay Mohammad Rafi , Mohammad Abdul Azeem, Mohammad Abdul Zameer, Mohammad Abdul Akram, Syed Abrar aur Mohammad Akram ko ba-haisyiat Arkaan e Amila muntakhib kya gaya. Qabal azeen ijlaas se khitaab karte hue Union ke sarparast Mohammad Sajid Meraj ne kaha kay jab tak Urdu sihafion mein ittehaad o ittafaq qayim nahi hota aur Urdu sihafi apni salahiyaton o taaqat ka muzahira nahi karte, unhen insaaf milnay wala nahi hai. Unhon ne Telugu sahafion ke masawi Urdu sahafion ko bhi sarkari mara-aat aur sahulaton ke liye jad-o-jehad jari rakhnay ka elaan kya aur Union ke tamam arkaan ko mahswara diya ke woh Tanzeem ko mazboot bananay ke liye apna apna rule sargarmi ke sath ada karen. Unhon ne kaha kay Union ki Hyderabad unit ki tashkeel ke sath hi tanzeem ki taaqat mein mazeed izafah hojagaya hai. Ab yeh Tanzeem mazeed sargarmi ke sath Urdu sihafion ko un ka haq dilanay ke liye apni jad-o-jehad ko agay badhayegi. Unhon ne aayindah mah Union ka Generalbody ijlaas munaqqid karte hue Urdu sihafion ke huqooq ke liye mukhtalif mhazon par taizi ke sath iqdamaat roba e amal laane ka bhi elaan kya. Union ke riyasti Sadar Ather Moin ne apne khitaab mein kaha ke hamein mil jul kar agay badhna hai. Union mein is ke har aik rukn ki ahmiyat hai. Kisi bhi rukn ke sath kahin bhi koi na-insafi hoti hai to Union na sirf is ke khilaaf aawaz uthaayegi balkay apne rukn ko insaaf dilanay ke liye har mumkin qadam bhi uthaayegi. Riyasti Sadar ne bhi tamam Urdu sihafion ke mabain ittehaad o ittefaq ko laazmi qarar diya aur kaha ke ittehaad ke baghair koi bhi maqsad haasil nahi kiya ja sakta. Union ke riyasati Secretary General Mohammad Layeeq , Naib Sudoor Mohammad Abdul Hakeem, Mohammad Abdur Rawoof Aazmi aur Secretary Mohammad Rafeeq Patel ne bhi khitaab kya. Ijlaas mein tanzeem ko har satah par mustahkam bananay ke liye iqdamaat par ghaur o khouz kya gaya. Arkaan ne apni raye se ohdedaron ko waaqif karaya aur mukhtalif masayel se aagah bhi kya. Un masayel ki yaksoi ke liye jald iqdamaat ka faisla bhi kya gaya. Ijlaas mein riyasti Khazin Syed Wajid Hussaini, Arkaan Amila aur Union ke deegar ohdedaaron ne shirkat ki. Aakhir mein Hyderabad unit ke nau muntakhib ohdedaron ko mubarkbad paish ki gayi.