Giraftarion ke mutaliq mutazaad daaway
Lashkar e Toiba ke mushtaba Operative Habib ur Rehman ki Delhi Airport par giraftari ke dosray din qaumi tehqiqati agency ‘National Investigation Agency (NIA)’ ney aaj Hyderabad ke puranay shehar mein saat maqamat par tosiyee dhave kiye. Un dhaavon ke talluq se mutazaad daawe kiye jatay rahay hain. Khabar rasan idaron ke mutabiq yeh dhaave subah 5:00 bajey se shaam 5:00 bajey tak jari rahay. Bataya jata hai ke yeh dhaave ISIS se talluq ke silsila mein 2016 ke aik muqadma mein kiye gay hain. ND Tv ke mutabiq Agency ke tarjuman ney kaha ke Hyderabad mein Hyderabad Police Commissionerate aur Rachakonda Police Commissionerate mein mushtaba afraad ke makanaat par dhaavon ke douran Agency ney digital alaat aur ishtial angaiz mawaad zabt kya hai. Unhon ney kaha ke mazeed tehqiqaat jari hain aur woh mazeed kuch batanay se inkaar kardiya. NIA ney 2016 case mein apni tehqiqaat mukammal karli hai aur 11 afraad ke khilaaf chargesheet paish kar di hai jin mein teen mafroor hain. Is muqadma mein ilzaam hai ke kuch naujawanon ney Mulk ke khilaaf saazish karte hue dehshatgard sargarmion ko anjaam dainay mein mulawis rahay hain. Mumbai Mirror ke mutabiq yaum e Azadi se qabal un dhaavon ko kaafi ahmiyat di jarahi hai. Un chapon mein bataya jata hai ke Dehli aur Gujarat ki NIA teams ney hissa liya. Ghair musadeqa it-tila-aat ke mutabiq NIA ney 6 afraad ko hirasat mein le liya hai. Aik aur zaraye ke bamawajib NIA ney 2016 mein Islamic State of Iraq and Syria (ISIS) naami tanzeem se talluq rakhnay wali aik touli ke 9 afraad ko girftar kya tha jabkay teen ko mafroor bataya gaya tha. NIA ki teames do din qabl hi Hyderabad pahonch gayi then, 2016 ke case ke silsila mein do mushtaba afraad ka pata chalanay Telangana Police ka taawun haasil kya tha. Telangana Police ke ohdedaron ney kaha ke hum ko bataya gaya ke yeh 2 afraad mazhab se mutaliq shiddat pasand rawish ikhtiyar karliye they. NIA ohdedaron ney un se tafteesh ki taham bazabta taur par hanooz nahi bataya gaya ke aaya baadi un nazr mein un ke khilaaf koi muqadama banta hai ya nahi.
Pakistan ke rishte daaron se musalsal rabita par tafteesh
Rachakonda Police Commissionerate ke Balapur Police Station ke hudood mein Shah Hills, Shaheen Nagar Ranga Reddy District ke aik makaan par bhi aaj NIA ke ohdedaron ney dhawa kya aur Abdul Quddus (54) aur un ke farzand Abdul Qadeer (19) se khandan ke deegar afraad ke sath pooch gach ki. NIA ki team subah 5:00 bajey se shaam 5:00 bajey tak tafteesh karti rahi aur aik Laptop aur khandan ke afraad khandan ke cell phones zabt karliye aur un se kaha ke mazeed tafteesh ke liye woh kal yani 7th August ko subah NIA ke daftar waqay Begumpet mein haazir hon. Bataya jata hai ke NIA ney makhsoos IP address aur Cell Phone numbers ke sath mutawatir Pakistan se rabita ki bunyaad par nazar rakhna shuru ki thi aur aaj NIA ki aik team yahan pahonch gayi. Tafteesh ke douran pata chala ke Abdul Quddus ke rishtedaar Pakistan ke Hyderabad aur Sindh ke Saqar zila mein rehtay hain. Abdul Quddus apne farzand ke sath apne rishtaedaaron se musalsal baat cheet kya karte they. Taweel tafteesh ke baad NIA ke ohdedaron ney Abdul Quddus aur in ke farzand ko yeh hidaayat dete hue chhodh diya ke woh kal Agency ke daftar puhanche. Aik ittila yeh bhi mil rahi hai ke ta haal kisi ki girftari amal mein nahi aayi hai. Abdul Qadeer ney bataya ke un se poocha gaya ke aaya woh un ke betay ki sar garmion se waaqif hain to unhon ney bataya ke un ka beta deen ki tableegh karta hai, woh nahi jantay ke woh kin se milta hai aur kya kuch karta hai. Unhon ney bataya ke deen ki tableegh se mutaliq kuch pamphlets ko bhi zabt kya gaya hai.