Friday, July 4, 2025
HomeJurmStage ki chhat o deewar gir jane se do Taalibaat halaak

Stage ki chhat o deewar gir jane se do Taalibaat halaak

Paanch zakhmion mein do ki haalat naazuk. New Century School, Kukatpally mein jis waqt yeh haadsia paish aaya us waqt talaba, Krate ki mashq kar rahay thay.

Hyderabad. New Century School Kukatpally, Hyderabad mein aaj aik alamnaak haadisa mein chauthi jamaat ki do Taalibaat stage ki chhat aur deewar gir jaane se barsar e  mauqa halaak hogai jabkay deegar Talaba zakhmi hogaye jin mein 2 ki haalat naazuk btai jati hai. Mahlook donon Taalibaat Mahi Kirtana aur Chndana deegar Talaba ke sath Krate ki mashq kar rahay thay. Yeh haadisa dopehar 2:30 bajey ke qareeb paish aaya. Haadisa ke waqt wahan maujood logon ney malba mein dabey 5 Talaba ko bachaaya aur baad azan ambulance talab karli gayi. Assistant Commissioner of Police Kukatpally, Cyberabad Commissionerate Mr. Bhujanga Rao ney bataya ke donon Taalibaat barsar e mauqa halaak hogain jabkay deegar zakhmi paanch Talaba ko fauri qaribi Hospital muntaqil kya gaya. Anupma Hospital ke aik Doctor ney bataya ke jumla 6 Talaba ko Hospital mein shareek karwaya gaya. Baad azan aik aur ladki ko Hospital laya gaya. Do ladkyon  ko murda qarar diya gaya jabkay aik taalib e ilm ke paiyr ki haddi mein fracture agaya aur us ke hathon aur pait mein chouten aayi hain. Do Talaba ko ibtidayi tibbi imdaad faraham karne ke baad inhen dosray hosspital muntaqil kardiya gaya. Kukatpally MLA Mr.  Madhavaram Krishna Rao ney School aur Hospital ka daura kya aur kaha ke hum ney School ka daura kya aur yeh dekha ke woh aik qadeem taamer thi. School intizamia ki laparwahi ke baayis do masoom bachon ki jaanen talaf hogai. Sarkari ohdedar bhi is ke barabar zimma daar hain jo ney aisay Schools ki ijazat dete hain. hum tahaqeeq karen ge aur pata chalayein ge ke is haadsa ke liye kaun zimma daar hain. Unhon ney bataya ke School intizamia ke 2 afraad ko Police ney hirasat mein le liya hai jabkay aik mafroor hai. unhon ney mahlook Taalibaat ke khandan ko tayaqqun diya ke hukoomat zaroor  exgratia jari kere gi. Unhon ney kaha ke hamari yeh koshish hogi ke is School ka ijazat nama mansookh kardiya jaye, hamein school mein pehlay se hi taleem par hai hain bachon ke baaray mein bhi sochna hoga, inhen fori kisi dosray school mein shareek karwana mushkil hoga. Walidain ki shikayat par police ney School intizamia ke khilaaf aik muqadma darj karliya hai.