Imran Khan ki halaf bardari taqreeb mein shirkat ka dawat nama Bollywood adakar ko hanoz mausool nahi huwa. Dawat nama milnay par bhi apni be-had masrofiyaat ke bbayis Aamir Khan jane se qassar.
Aamir Khan ne aik niji TV ko interview dete hue bataya ‘woh Pakistan nahi jarahay aur unhen PTI se Imran Khan ki halaf bardari ki taqreeb mein shirkat ka koi dawat nama mausool nahi huwa.’ Guzashta roz Pakistan Tehreek e Insaaf ke tarjuman Fawad Chowdry ne kaha tha ke mutawaqqa Wazir e Azam ki halaf bardari ki taqreeb mein shirkat ke liye un ki jamaat ne Aamir Khan , Kapil Dev, Sunil Gawaskar samait kayi naamwar shaksiaat ko dawat naame bhaij diye hain jabkay Aamir Khan ka kehna hai ke inhen PTI ki taraf se Pakistan aanay ka koi dawat nama ta haal mausool nahi huwa hai. Tawaqqa hai ke Imran Khan 11th August ko Pakistan ke Wazeer e Azam ki hesiyat se halaf lenge. Aik niji Channel ‘News 18’ ne twitter par aik post share karte hue bataya ke adakar Aamir Khan ko dawat nama nahi mila, Woh Pakistan nahi jarahay. Channel ke mutabiq Aamir Khan ne kaha ke agar is marhala par unhen dawat nama mausool bhi hota hai to woh Pakistan jane se qassar rahen ge chunkay woh in dinon bahut ziyada masroof hain
#BREAKING — I am not going to Pakistan. Haven't received an invitation for @ImranKhanPTI's swearing-in: @aamir_khan tells News18 | #PakPicksImran pic.twitter.com/CaaH0ZIIuc
— CNNNews18 (@CNNnews18) August 2, 2018
Wazeh rahay ke aaj se taqriban 6 saal qabal Imran Khan ne yahan Hindustan mein aik taqreeb mein maheman e khusoosi ki hesiyat se shirkat ki thi jahan Pakistani gulukar Ali Zafar aur Aamir Khan bhi maujood thay, taqreeb ke maizban ne Aamir Khan se Imran Khan ke mutaliq apni raye ka izhaar karne ko kaha to Aamir Khan ne sab se pehlay Imran Khan ki tareef ki aur kaha aap ne tamam salawon ka bohat achay tareeqa se jawab diya. Is ke alawa Aamir Khan ne un ke junoon aur jazbah ki bhi tareef ki aur sath hi dua dete hue kaha tha ke Pakistan mein aisi hukoomat aeye jo waqai Pakistan ke masail hal kar sakay aur jo Pakistan mein khushhali laaye. yeh nah sirf Pakistan ke liye achaa hoga balkay hamaray liye bhi achaa hoga. Aakhir mein Imran Khan ne Aamir Khan ko 2013 ke election se qabal Pakistan aanay ki dawat di jis par Aamir Khan ne kaha kay jab aap election jiiten ge to mein aap ki jeet ka jashnn mananay Pakistan aon ga aur akela nahi balkay bohat saaray Hindustanion ko saath le kar aoanga. Pakistan Tehreek Insaaf ke Chairman aur mutawaqqa Wazeer e Azam Imran Khan 2013 ke election mein kamyaab nah hosakay, unhon ne himmat na harte hue mazeed jad-o-jehad ki aur saal 2018 ke intikhabaat mein jeet un ki hui jis par Pakistani gulukar o adaakar Ali Zafar ne tweet ke zareya Aamir Khan ko unka wada yaad karaate hue kaha ke aap ke Pakistan aaney ka wada poora karne ka waqt agaya hai.