Friday, July 4, 2025
HomeJurmSocial Media par Qasida post karne wali Falasteeni Shaeyrah ko jail ki...

Social Media par Qasida post karne wali Falasteeni Shaeyrah ko jail ki saza

Yeh aik fastai mumlikat hai aur Yahoodi Qaumi Mamlikati qanoon sirf yeh zahir karta hai ke yahan nasli asbiyat payi jati hai. Yeh saza mujhe rok nahi paye gi. Mein koi pehli qaidi hoon? aur na hi mein aakhri qaidi hosakti hoon?: Dareen Tatour

Israeli adalat ney mangal ke roz aik faisla mein Falasteeni Shaeyrah Dareen Tatour ko paanch mah qaid ki saza suna di. woh do barson se ghar mein nazar-band hai. Dareen ney adalti faisla par apna rad-e-amal zahir karte hue kaha ke yeh ghasib mumlikat ki adalat hai. Yeh aik fastai mumlikat hai aur Yahoodi Qaumi Mamlikati Qanoon sirf yeh zahir karta hai ke yahan nasli asbiyat payi jati hai. Yeh saza mujhe rok nahi paye gi. Mein koi pehli qaidi hoon? aur na hi mein aakhri qaidi hosakti hoon? Dareen par ilzaam hai ke unhon ney Social Media par apne aik Qasida aur bayan ke zareye logon ko dehshatgardi par ubhaara. Dareen ney Facebook aur Youtube par aik record shuda video post ki thi jis mein woh pas manzar mein apna arabi Qasida ” قاوم يا شعبي قاومهم (mere logon ka difaa karo, un ka difaa karo. ..)” parh rahi hain jab ke video mein naqaab posh Falasteeni Israeli fojion par pathrao karte nazar aa rahay hain. khatoon Shaeyrah ney apna yeh Qasida october 2015 mein nashar kya jab Falastinyon ki janib se Israelion ke khilaaf churay se hamlon, firing aur gaadi se kuchalnay ki karwaiyon ki aik lehar ney sir uthaya tha. Is ke chand roz baad Israeli fouj ney 36 sala Dareen ko girftar kar liya. Israeli istighasa ke numaindon ke mutabiq Falasteeni Shaeyrah ney Social Media par jo kuch nashar kya woh tashadud ke liye ishtial angazi ke zumray mein aata hai. Dareen ney is muaqqaf ko mustard kar diya. Israeli istighasa ke mutabiq Dareen Tatour par aik Falasteeni muzahmati tanzeem “Islami Jehaad” ki himayat ka bhi ilzaam hai. Israel mazkoorah jamaat ko dehshat gard shumaar karta hai. Nasra shehar mein adalat ke andar sahafion se guftagu karte hue Dareen ney kaha ke inhen jail ki saza ki tawaqqa thi. Is faislay mein koi hairat ki baat nahi kyun ke jab Israeli Adalat mein koi Falasteeni mulzim hota hai to usay insaaf nahi milta. Bilkhushoos jab ke bunyadi taur par muqadma siyasi nauiyat ka ho jaissa ke Falasteeni Shaeyrah ke muamlay mein tha. Dareen Tatour ka talluq un Falastinyon ki nasal se hai jo Arabs aur Jews ke darmain 1948 ki jung ke baad apni araazi mein maujood rahay aur wahan Israeli riyasat qaim kar di gayi. Is dauran asleha ke zor par qatal aam ke zareya lakhoon Falastinyon ko apne gharron ko choarnay par majboor kar diya gaya.