Sunday, April 20, 2025
HomeJurmMuqarara daam se ziyada qeemat ki vasuli, 2 Hotels par chaapay

Muqarara daam se ziyada qeemat ki vasuli, 2 Hotels par chaapay

Hyderabad: Mehakma legal Metrology ne 2  restaurants ke khilaaf MRP se ziyada mashrobat aur pani ki Bottles wusool karne par muqadma darj kiya hai.

ek muqami samaji karkun ki shikayat ki bunyaad par mehakma legal Metrology ne chaapay maaray aur Santosh dhaba ki shanakht ki aur reliance classki Restaurant aur baar sarfeen se izafi qeemat wusool kar rahay thay.

reliance classki Restaurant and baar mashrobat par sarfeen se 25 rupay wusool kar rahay hain jabkay MRP sirf 20 rupay hai. jabkay Santosh dhaba 35 rupay mein pani ki bottle wusool kar rahay thay, Jis ki MRP 20 rupay thi. Umesh kumar ki shikayat ki bunyaad par legal metro PC qawaneen 2011 ke zabita 18 / 2 ki izafi qeemat ki khilaaf warzi par zilayi qanooni Metrology ke ohdedaron ne dono idaron par chaapay maaray.

Qanooni Metrology qawaneen 2011 ka 18 ( 2 ) ke tehat karwai ki gayi hai. Know your right ke baani aur karkun ne sri khande umesh kumar ne kaha hai ke koi bhi idaara MRP se ziyada qeemat ashya par wusool nahi karsaktha. agar koi dukaan ya idaara MRP se ziyada wusool karta hai to sarfeen ko laazmi shikayat karna chahiye. mehakma legal Metrology se shikayat ki jasakti hai. jaisa ke yeh wazeh hai ke dono idaray legal Metrology ke qawaid ki khilaaf warzi kar rahay hain lehaza mazkoorah baala station ko dafaa 18 ( 2 ) ke tehat muqadma darj kiya jasakta hai. LM qawaid 2011 aur munasib daf-aat ke tehat bhi muqadmaat darj kiye jasaktay hain.

unhon ne mazeed kaha mein mehakma legal Metrology se darkhwast karta hon ke woh idaron ke khilaaf sakht karwai kere. un par bhaari jurmana aed karne se aindah ki khilaaf wazion ko roka jasakayga. neez mehakma ne controller se darkhwast karne ke baad hi karwai ki report fraham ki hai.