Osama bin Laden ke sabiq Muhafiz Sami Al Aiydudi ko jummay ke din Tunisia ki jail se raha kardiya gaya. 42 sala Tunisian shehri ko jail se aboori tor par raha kardiya gaya chunkay judge ka yeh ehsas tha ke un par koi bhi ilzaam waza nahi kya jaska. Tunisia ki insidaad e dehshat gardi adalat ney Osama bin Laden ke sabiq zaati Muhafiz Sami Al Aiydudi ko raha karne ka hukum diya hai. Tunisia ki insidaad e dehshat gardi police ke tarjuman Sufyan Al Salaiti ney bataya ke haal hi mein Germany se nikalay jaany walay bin Laden ke sabiq Muhafiz Sami Al Aiydudi ko raha karne ka hukum diya gaya hai. guzashta roz Al Aiydudi ko adalat mein paish kya gaya. adalat ney mulzim ki mojoodgi mein kaha ke mulzim praayd kardah koi bhi ilzaam saabit nahi ho saka hai. taham rihayi ke bawajood Tunisian hakkaam Al Aiydudi se pooch gach kar saktay hain. Tunisian hakkaam ney kaha ke dehshat gardi ke shuba mein hum Sami ki tafteesh karen ge aur is douran woh malik chore nahi ja sakain ge. yaad rahay ke Germany mein girftar y ke baad wahan ki adalat ney inhen guzashta baras inhen Germany se wapas bhaij dyie jaany se is bunyaad par rokay rakha tha ke watan loatne par is ke sath aziat rasani aur ghair sulooq ka saamna karna parsakta hai.