Thursday, July 10, 2025
HomeHyderabadMazureen mein 7.82 crores rupay maliyat ki imdadi ashya ki taqseem

Mazureen mein 7.82 crores rupay maliyat ki imdadi ashya ki taqseem

Hyderabad. Hyderabad mein aaj mukhtalif jismani mazoori ke shikaar 7481 afraad mein 7. 82 crores rupay ki ashya taqseem ki gayeen. Telangana Disabled Welfare Society aur Telangana Old Age Welfare Society ki janib se aaj numayesh maidan par aik taqreeb munaqqid ki gayi. Is taqreeb mein mukhtalif nauiyat ke Mazureen jaisay jismani mazureen, andhon, behroon aur zaheni mazureen ko un ki zaroorat ki ashya taqseem ki gayeen. Deputy Chief Minister Mr. Mohammad Mahmood Ali, Finance Minister Mr. Etala Rajendar aur Home Minister Mr.  N. Narrsimha Reddy, wazeer afzaish moyshyan aur Mr. Srinivas Yadav wazeer Excise Mr. T. Padma Rao Gaud ney maheman khusoosi ki hesiyat se shirkat ki aur mustahqeen mein yeh ashya taqseem kee. Commissioner for Persons with Disability Mrs. B. Shailaja ney bataya ke pehlay marhala mein jismani mazoor 465 afraad mein 3.48 crores rupay maliyat ki motor bikes, 247 afraad mein trycycles, calpers aur artificial limbs, aur 50 afraad mein 25 laakh rupay maliati Battery operated Wheelchairs, Basarat se mahroom afraad mein 86.80 lakhs rupay maliyat ke laptops (JAWS software ke sath ) ke alawa mp3 palyers, Daisy players, walking sticks aur Braille Books taqseem kiye gaye. Samaat se mahroom 1712 afraad mein 60 lakhs rupay maliyat ke aala e samaat aur 1712 afraad mein 1.96 crores rupay maliyat ke 4G smart phones aur zehni mazureen mein 9.8 lakhs rupay maliyat ke 300 teaching and learning materials aur 54. 86 lakhs rupay maliyat ki wheelchairs taqseem kiye gaye. Is mauqa par Mr. M Jagadeshwar Secretary Women, Child and Disables Welfare bhi maujood they.