Friday, July 11, 2025
HomeIndiaMulk mein guzashta baras firqa waranah tashadud mein 111 afraad halaak

Mulk mein guzashta baras firqa waranah tashadud mein 111 afraad halaak

New Delhi. Mulk mein saal 2017 mein 822 firqa waranah tashadud ke waqeat mein 111 afraad halaak hogaye. Markazi Mamlakati wazeer e Dakhla must Hansraj Gangaram Ahir ney aaj Rajya Sabha ko bataya ke 2016 mein is terha ke 703 waqeat mein 86 aur 2015 mein 751 waqeat mein 97 logon ney apni jaanen ganwayen hain. Mamlakati Wazeer e Dakhla ney tehreeri jawab mein kaha ke law and order, aman o zabt aur firqa waranah hum ahangi ki barqarari aur khation ke khilaaf karwai ki bunyadi zimmadaari reyasti hukoomaton aur markaz ke zair e intizam ilaaqon par aed hoti hai. unhon ny kaha ke Mulk mein firqa waranah hum ahangi ki barqarari ke liye markazi hukoomat mukhtalif tareeqon jaisay antli jins it-tila-aat ki farahmi, intibahi payamaat aur ahem tabdeelion par waqtan foqtan mashwaron ke zareya reyasti hukoomaton ki muawnat karti hai.