Friday, July 11, 2025
HomeHyderabadMahkuma Barqi ke aarzi mulazmeen ka ehtejaji muzahira

Mahkuma Barqi ke aarzi mulazmeen ka ehtejaji muzahira

Hyderabad. Mahkuma Barqi ke aarzi mulazmeen ne, un ki mulaazmaten mustaqil karne Chief Minster ke wada ki adam takmeel par aaj saari riyasat Telangana mein ehtejaji muzahira kiya. Apne derina mutalibaat ki adam yeksuwi ke khilaaf aaj Hyderabad mein bhi mukhtalif muqamat par Mahkuma barqi ke dafatir par ehtejaji muzahira kiya. aarzi mulazmeen ki mukhtalif Unions ki mushtarika Majlis amal ke qaideen ne bataya ke un ke derina mutalibaat ki yeksuwi se TRS hukoomat gorezan hai, jis ki wajah se aarzi mulazmeen kayi mushkilaat se dochar hain. Chief Minster Mr. K. Chandrashekhar Rao ke aarzi mulazmeen ki mulazimaton ko mustaqil karne ka wada kiye aik arsa beeet chuka hai magar is janib hanoz koi misbet paish Raft nahi ki jaski. Union qaideen ne bataya ke Telangana riyasat mein jumla 23, 667 aarzi mulazmeen hain. is ke ilawa Outsourcing par 6-8 hazaar afraad bil collection par mamoor hain. Unhon ne bataya ke Labour Act ke mutabiq aarzi mulazmeen ke Provident Fund aur ESI mein aajir ko bhi apna hissa ada karna hota hai magar aajir ki janib se jo hissa hota hai woh raqam bhi mulazmeen ki tankhwahon se mnha karli jarahi hai, jabkay oot sorsng par kaam karne walay Bil Collectors ko aik bil ki vasuli par sirf aik rupiya diya jata hai. Inhen bhiESI aur PF ki saholaten faraham nahi hain. union qaideen ne mutalibaat ki Adam yeksuwi par ehtijaj mein shiddat peda karne ki bhi dhamki di hai.