Monday, April 21, 2025
HomeHyderabadNaalon par taamer honay wali imaartoun ko baghair kisi ittila ke Munhadim...

Naalon par taamer honay wali imaartoun ko baghair kisi ittila ke Munhadim kardiya jayga

Hyderabad:  TRS ke working sadar aur shehri nazam wo nasq  ke wazeer KTR ne kaha ke reyasti hukoomat Hyderabad mein naalon aur tankon ke nazd qabza aur tameeraat ke khilaaf sakht iqdamaat shuru karegi.

Unhoun ne kaha ke January ya feb mein naya GHMC qanoon pesh karne ki koshish ki jarahi hai taakay peshgi ittila ke baghair naalon per taamer shuda dhanchon ko masmaar karne ka intizam kiya jaye.

Unhon ne kaha ke reyasti hukoomat naalon aur tankon par tamam ghair majaz imaarton ko jald khatam karne ke liye strategic road development programme ( SRDP ) ki tarz par strategic nala development programme ( SNDP ) ka mansoobah bana rahi hai. yahan press club of hyderabad ke zair-e-ihtimaam meet the press programme ke douran congress par tanqeed karte hue KTR ne kaha ke congress hukoomat ke douran ek committee tashkeel di gayi thi.  Agarche committee ne naalon aur tankon par 28000 se ziyada qabzon ki nishandahi ki hai jis se kayi colonies ko selaab ka khatrah la-haq hai, taham sabiq congress hukoomaton ne koi karwai nahi ki.  Unhoun ne kaha ke mojooda TRS hukoomat ko un tamam saal ke baad apni ghaltion ko durust karna baqi hai.  Maazi ki najaaiz qabzon aur ghair majaz emiratein  haliya shadeed baarisho ke douran colonies mein selaab ka baais bani hain.

TRS ke working sadar ne GHMC intikhabaat ke baad hyderabad mein zameen se mutaliqa hazaron amlaak se wabasta umoor hal karne ki yaqeen dehani karwai hai aur kaha hai ke reyasti hukoomat ghareeb tabqe aur mutawasat dono ko unki apni jayidadon par tanazah se pak milkiat fraham karne ke liye par-azm hai.  Unhon ne mazeed kaha sirf TRS hukoomat hi un masail ko hal kar sakti hai. unhon ne nishandahi ki ke hukoomat GO 58 layi hai taakay ghareebon ke zareya maqboza  sarkari araazi ko baqaida banaya jasakay aur unhen pita muhayya kiya jasakay.

Wazeer ne kaha ke reyasti hukoomat shehri ghareebon ke liye kayi falahi programon par amal paera hai.  Unhoun ne kaha ke hukoomat Annapura canteens ke zareya mehez 5 rupay mein rozana 50000  ke qareeb khana muhayya kar rahi hai.  Riyasati hukoomat hyderabad mein ek laakh double bedroom makanaat taamer kar rahi hai jis mein 9714 crore rupiye kharch hue hain.