Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaIntikhabaat mein firqa parast taqaton ko shikast den: Danishwaron

Intikhabaat mein firqa parast taqaton ko shikast den: Danishwaron

New Delhi: Hindustan ke 100 se ziyada adeebon, Danishwaron aur saqafati kaarkunon ne Bihar Assembly intikhabaat mein firqa parast aur awam dushman taqaton ko shikast day kar jamhoori aur secular taqaton ki himayat karne ki awam se Appeal ki hai. People’s Writers Association, Progressive Writers Association aur Sanskrit Manch samait kayi tanzeemon se wabasta afraad ne yeh Appeal ki hai.

Appeal karne walon mein tajurbahkar musannif Vishwanath Tripathi, Hindi ke mashoor shayer aur saqafati karkun Ashok Vajpeyi, Pehal Patra ke Editor Gyan Ranjan, Peoples Writers Association ke general secretary Murly Manohar Prasad Singh, Jan Sanskriti Manch ke naib sadar aur Shayar Manglish Debral, Progressive Association ke Varinder Yadav, Angrezi ke mashhoor shayar aur Saheti Academy ke sabiq Secretary Sachida Nand aur Bhartia Gyan Peeth ke Director Anand Madhusoodanan, Angrezi ke maroof shayar ke K. Daruwala, Preyam Chand ke potay aur angrezi ke musannif Alok Rai, Geeta Harihiran samait kayi musanifeen aur saqafati karkun shaamil hain.

Un danishwaron ne ek Press Release mein kaha is waqt mulk azadi ke baad ke sab se mushkil aur tareek daur se guzaraha hai, Jamhoriat ka libaas zaib tan karkay firqa parast aur awam dushman taqaten hamaray secular dhanchay ko naist-o-nabood kar te hue hamaray ghareeb saada looh awam ke liye bohraan peda kar rahi hain. Unhoun ne mulk ko jhoot, Istehsal, Tashadud aur muashi tabahi ke bhanwar mein phansa diya hai.

Is mushkil daur mein Bihar jaisi bashaour riyasat ke Assembly intikhabaat bohat ahmiyat rakhtay hain. Hum musannif sahafi, Fankar aur saqafati karkun Bihar ke raye dehnd gaan se Appeal karte hain ke woh taraqqi ka dhol peetnay wali aur nafrat phelanay wali quwatoon ke khilaaf awam aur mazhab par jamhoriat ki pasdar quwatoon ki himayat karen. Bihar ne mutadid martaba mulk ko rasta dekhaya hai aur bunyadi tabdeelion ka aghaaz kiya hai. Hum umeed karte hain ke riyasat ke raye dahindgaan is mashal ko roshan rakhen ge.